lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu pyaar ki daastaan – lata mangeshkar

Loading...

pyaar ki daastaan tum suno to kahen
kya karega sunake jahaan, tum suno to kahen

do dilon ke milane se sau diye jal jaate hain
aarzu ki manzil tak raaste sab aate hain
ham kahaan se aaye kahaan, tum suno to kahen

bas yahi to poochha tha ek din kuch sharmaake
kyon gagan yoon milata hai is zameen se ghabaraake
ho gaye sab aramaan jawaan, tum suno to kahen

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...