lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kartoos shikari satya – anmol sandhu

Loading...

verse 1:

main kabile ke tere raaja ko maar doon
tujhe bete thodi si ladhne ki aag doon
likhta hoon main, aese jaise koi kaartoos
tere bachne ka koi nahi hai aasaar, tu
bachkaani si baaton mein hai fasaa yun
afsane ke fasaane ki kahaani naap tu
tujhe dafnane ki main rakhta hoon arzoo
main hoon kaafi junglee aur tu beta hai paltu
aaltu jalaaltu tu faltu, bhootkaal sa buchaal hoon
sambhal tu, bhavishya behaal, ru*
*paiye ke samaan hoon, bhool kya g*ya tu
main tera vartmaan hoon, haan
tu akela main aawaam hoon, kya
bharshtachaar ke khilaaf hoon, haan
joh tu dharam, bhagwaan hoon, haan
main joh aaya, tardhi paar tu, jaa
iss jung ka aagaaz hoon, aa
har sawaal ka jawaab doon, kya
agyaat ka main gyaan hoon, haan
bhautiki, main vigyaan hoon, eureka
taaron bhari kaali raat dhoondh, chaand
aag kahan khaali khaakh tu, khaakh
saanp tu, sher khan hoon
kalam se hi hoga saaf tu, kya
samajh paaya chotte yeh paath tu?
behmaani ke ab tere saare chitthay saaf doon
jawaani mein kaanpte tеre ab haath kyun?
faulaadi kehte tujhе, jaa bas maal foonkh
barbaadi pehne huye, ab laal khoon
zimmedaari aane par jaata hai bhaag tu
ahankaari zamane ka ahankaar tu
anjaan tu
tera anjaam hoon

verse 2:

jantahit mein jaari hai, aakhiri baari hai
yeh joh sawaari hai, tehrah ki taareek hai
teri tabahi hai, raakshasi paari hai
na koi supaari, na teri taareef hai
karta manmaani, akela tu khaali hai
dosti joh saari hai, paison se paali hai
ginti ki yaar mere, saare shikhari hai
dil tera bhaari hai, teri na baari hai
aur bekhayali mein bas bekhayali hai
chotti yeh soch beta kaaafi poorani hai
kehte hi dekh tune nazrein jhuka li hai
lekin tu sanskaari aur aagyakaari hai
suljaah jazbaat tu
le khud ko sawaar
de khud ko pukaar tu
tujhe yeh bata doon
teri apni tu jeet
teri apni tu haar chun
avgun na chun
adhoore sabhi
sabhi mein kahin khataas, sunn
khud pehchaan bunn
bann nakli nahi
bann asli misaal tu
tujhi mein inaam gum
besabri nahi
bas sapne taraash, unn
sapno ke saath chunn
rakh sabko kareeb
joh the khade, khare khwaab bunn

verse 3:

karoon teri hatya bhi
hathora tyagi, main satya bhi
chalte hai kaam kismat se hi
himaat se hi, kudrat sahi
hum toh hai aam, khudgarz nahi
khud kar sahi, rishwat nahi
choo loon makaam, upar kahin
ladh kar yahin, marr kar yahin
dekhoon main khwaab, darr kar nahi
kar kar ke hi, badh badh nahi
zindagi kitaab, padha kar kabhi
bas hass abhi, mudh matt kabhi
tera parivar, daulat yahi
parivartan hi hai shauharatt teri
khushiyaan hazaar, muddat mein hi
idabaat mein bhi, rakh sabko hi
hindi hai bhav, milawat nahi
silwat nahi, sajaawatt nahi
yeh bramhmaand, koi bramah nahi
kann kann hum hi, samay hum mein hi
khud ko sambhal, gire jab kabhi
uthh karke seekh, taakat yahi
tu hi hai raaz, tu hal mein bhi
ulfat kabhi kar khud se bhi

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...