lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kamna – v-chitr

Loading...

likhu me jo bhi….mere dil ko pasand
na-pasand jisko meri pasand..
kare baand apne kaan
pareshaan na hoo
utha tuffan,hai rujhaan
imtehaan se thakan na ho…

vartmaan me to maan(respect) se bhi kam na h….
kam na(unemployment) hai…
fir bhi kamna(desire) h….kya mna hai ?
kuch krne ko
kuch aise bhawna hai
jaise koi bhav-na hai
jaisa koi bhag na hai
mera mere jivaan me
badle ki bhavna bhi
panpe mere jii-van(jungle rupi man) me

jaha ashanti h, bhook cheeke marti h
maut pukarti h, wha mere jeev(dimagi)-an-se-shabdho ka
krte shikaar puri lagaaan se
buri kisam ke mere shabdh tere katil bante
sangat me rehke inki mene zurm(lyrically) krne seekhe
do hi tareeke kewal inse bachne ke
ya tu inse darna seekh ya tu inse ladne seekhe

bachpan se ladna seekhe
lad lad ke badna seekhe
khud se kuch karna seekhe
na ko naa karna seekhe
na khona bharna seekhe
bachapan bina hasi ke
nikla hum narazgi me
eklote alfaaz jeete
mere do saal beete
aakho se aasu peete
mere jo haaal beete
saar pe sawaaal bhi the
saar pe sawar bhi thi..
jimmedariyaan ye meri
sadgi se jeeena
khalu main tujhe bhi sath ghee ke

sadhu main nishaana sadgi se
milta h sukoon sath jee ke

mujhe mere shabdho k swaad thekke
bal ki bhi khaal khechee
lalchi ye aadti – asur
ashanti hui, bagawati ye bol
kapti thi ye jubaan pehle
nachti hai ab ye khaaap-si
berham baap-si
kharab ye sharab-si
par waapsi hai meri
baat na hai aaapsi
par aapsi vivaad naaa
kisi se ki hai aashiquii
khud ki hi talash ki
khud se hi narazgi
khud ko hi tarashati
hai saaaz meri, raaaz ki
ye baat sarri, raaat sarrri jagti
dar se door bhagti
kabar se noor aaag-ki
sabar ke phool tazgi
to dete par aaj bhi
betaaab nazre kat-ti
hai din ko jaise saal
ye aas hai ki
taash ki tarah jo sapne bikhre hai
ho jaye wo saakaar

khud se hi jo baaat ki to khud pe rona aagya
dil tasaali deta mujhko, kehta roo na aagya
samay ye tera aage-aaa, main apna rona gaa-gya
or ab pta chala ki main to geeet ko bana gya
or dhun pe bhi saza diya
sateek shabdhkosh mera kaffiyaa
bhi kaffi had tak khaaa gya ….

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...