afghan jalebi (film version) [from "phantom"] - akhtar lyrics
maqtool jigar (ya baba)
qaatil hai nazar (ya baba)
ik mehjabin (ya baba)
ik noor-e-nabi (ya baba)
rab ki rubaai (ya baba)
ya hai tabaahi (ya baba)
gardan surahi (ya baba)
boli ilaahi (ya baba)
afghan jalebi
mashooq farebi
ghayal hai tera deewana bhai wah, bhai wah
bandook dikha ke kya pyar karegi
chehra bhi kabhi dikhana bhai wah, bhai wah
afghan jalebi
mashooq farebi
ghayal hai tera deewana bhai wah, bhai wah
bandook dikha dikha ke kya pyar karegi
chehra bhi kabhi dikhana bhai wah bhai wah
o. dekh darazi (wallah)
banda namazi (wallah)
khel ke baazi (wallah) khamakha
ab thehra na kisi kaam ka (wallah, wallah.)
mir ka koi (wallah)
sher suna ke (wallah)
ghoont laga ke (wallah) zaam ka
main raha khan mehaz naam ka
oye lakht-e-jigar (ya baba)
oye noor-e-nazar (ya baba)
ek teer hai tu (ya baba)
main chaak jigar (ya baba)
bandon se nahin to allah se daregi
waada to kabhi nibhana bhai wah, bhai wah
bandook dikha dikha ke kya pyar karegi
chehra bhi kabhi dikhana bhai wah
bhai wah bhai wah bhai
khwaja ji ki paas teri chugli karunga
main teri chugli karunga
haan teri chugli karunga
angoothi mein qaid teri ungli karunga
main teri chugli karunga
haan teri chugli karunga gul-e-gulzar (ya baba)
mere sarkar (ya baba)
bade mansoob (ya baba)
tere rukhsaar (ya baba)
haaye shamsheer nigaahein
chaabuk si adaayein
nacheez pe na chalana bhai wah, bhai wah
bandook dikha dikha ke kya pyar karegi
-×-×end-×-×
Random Song Lyrics :
- oblivion - deleted tunes lyrics
- ✟when i die✟ - bramwin lyrics
- non ci vedo più - yd frost lyrics
- flag on the wall - chris janson lyrics
- family is family - rhett walker lyrics
- friend of mine - norman nardini lyrics
- invierno - gianluca lyrics
- prep school - roman lyrics
- postre - cocofunka lyrics
- 酔いどれ知らず (yoidore shirazu) - kanaria lyrics