
diya hai - arooj aftab lyrics
diya hai dil agar us ko bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho nama*bar hai kya kahiye
ye zid ki aaj na aave aur aae bin na rahe
qaza se shikva hamen kis qadar hai kya kahiye
rahe hai yuun gah*o*be*gah ki ku*e*dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye
zahe karishma ki yuun de rakkha hai ham ko fareb
ki bin kahe hain unhen sab khabar hai kya kahiye
samajh ke karte hain bazar men vo pursish*e*hal
ki ye kahe ki sar*e*rahguzar hai kya kahiye
tumhen nahin hai sar*e*rishta*e*vafa ka khayal
hamare haath men kuchh hai magar hai kya kahiye
unhen saval pe zom*e*junun hai kyuun ladiye
hamen javab se qat*e*nazar hai kya kahiye
hasad saza*е*kamal*e*sukhan hai kya kijiye
sitam baha*e*mata*е*hunar hai kya kahiye
kaha hai kis ne ki ‘ghalib’ bura nahin lekin
sivae is ke ki ashufta*sar hai kya kahiye
Random Song Lyrics :
- luv 2 - coldcloud lyrics
- nobody - jacquees lyrics
- in the cut - advm lyrics
- paz - saurom lyrics
- sou do bem - ga31 lyrics
- heaven's sake - drk gry lyrics
- hindrance - hoity-toity lyrics
- belunivers - naya lyrics
- bahot sahi | tale of two cities - j cole | hindi cover - hotfix lyrics
- strangers - josh ritter lyrics