lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

likhta hoon - farak & thugs from overseas lyrics

Loading...

main jeene ki aas mein likhta hoon
mat dekho kis haal mein likhta hoon
is qala ko sab kuch nyochaavar
main chamdi utaar ke likhta hoon

kabhi khud ka bakhaan main likhta hoon
kabhi guzre ki yaad mein likhta hoon
koi deta jab dil pe dastak
uske jaane ke baad main likhta hoon

taqleefon se raat mein milta hoon
sambhalne ki aas mein bikhra hoon
main chahta aasman pe kaabu
par logo ki aankh mein girta hoon

main naastik paap nahi ginta hoon
koi dhaarmik baat nahi likhta hoon
andaaz*e*bayaan paisa hai
kuch itna bhi khaas nahi likhta hoon

main likhta vo chaand taare
jo kitno ko jeene ka aasra dein
main likhta vo kaanch ka dil
jo nazuk beshaq par bardaasht kare
main likhta jab shaam dhale
jab mehfil mein kisse aur jaam chalein
ye kalam sahara kitno ka jab sochu to
likhne ko haath badhe
main likhta bhulane ko kuch
kamane ko aksar luta deta kuch
ye zaalim zamane ka zurm
jo sach likhu to nakaaroge tum
musafir main raahon mein gum
ye kalam azaad salakhon se mukt
main likhta insaano ke nuks
kya dard likhu to dawa doge tum?

ye kaagaz dhool khaate dikhte
main maangu fool, kaantein milte
haasil kya bhatke musafir ko?
aksar main poochta manzil se

likhta main aasman zameen pe baithe
har vo shaqs bhaagta jo dil mein thehre
ab maanjhi tat ko talaashe bas
ye kaagaz jaanta gam kitne gehre

main likh du sab to kya tum padh sakoge?
main likh du sach to kya samajh sakoge?
insaan murda bin zakhmo ke, agar
ek likh du khat to kya tum rakh sakoge?

(hmmm)
jin haatho ne kalam utha li un haatho ne kabhi na failna seekha
main dooba hua tha isliye tairna seekha
is kalam ne kabhi na thairna seekha
bagair na jee pata kala ke meri main zeher na peeta
main sheher ka seedha sa ladka gumnami ke keher mein jeeta, main gair sabhi ka, main gair sabhi ka par

bana leta apna har kisi ko lafzo ke zariye se likhta jo kagaz pe, dard amavas ke chand ke jaisa hai mera jo kabhi na dikhta hai bahar se
muskurahatein lagti hain jhoothi jab sar pe savar gunaho ka bojh main deta nahi kisi ko dosh bas likhta in panno ko bharta hu roz
main kahu khud se ki kaam karo
main kehta hu mujhko tum yaad karo
jab laash jala dein ye meri to baare mein mere mat baat karo

aur karna jab baat na bhulna, becha nahi sapno ko kaudi ke daam
main likhta tha aur karta dua tha kar de ye kisi ke ghavo pe marham ka kaam
aur kar dena maaf jo reh gayi vo koshish nakaam
main karta hu khud se sawal
kya lagega kabhi bhi mol is paini zubaan ka zannat mein
aage farishto ke
kya vo mere vaado ke rishto ke lenge hisab
main kishto mein deta jawab
ki maana main paya na kar apna naam is duniya mein jitna tha chaha us ladke ne, naam tha aniket

5 baras hue likhte mujhe
5 august hua janam mera, aur
5 the baje ve sham ke
5 nakaam gulzaaro ke marrne ke baad
aur 5 janam jo bekar gaye
aur agar sun rahe ho abtak tum baatein meri to fir
jaane mat dena is kala ko meri
tum iske kabil banna
likhta main aasman zameen pe baithe
har vo shaqs bhaagta jo dil mein thehre
ab maanjhi tat ko talaashe bas
ye kaagaz jaanta gam kitne gehre

main likh du sab to kya tum padh sakoge?
main likh du sach to kya samajh sakoge?
insaan murda bin zakhmo ke, agar
ek likh du khat to kya tum rakh sakoge?

(hmmm)

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...