main jo shayar kabhi hota - mehdi hassan, fayyaz hashmi & m. ashraf lyrics
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta

chaand ko chaand na kehta, tera chehra kehta

tujhko le udta hawa banke main, khushboo ki tarah

umr bhar rakhta zamaane ki nigaahon se pare
dil bhi gar poochhta, tera to kabhi na kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta
khushnaseebi se mujhe apni hi lagta hai yeh dar

meri khushiyon ko na das le kisi dushman ki nazar
chashm*e*bad*door na kehta to bhala kya kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta
tere kadmon pe hi jaan apni fida kar deta

aakhri farz mohabbat ka adaa kar deta
aur isi farz*e*mohabbat ko main sajda kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta
chaand ko chaand na kehta, tera chehra kehta
main jo shayar kabhi hota, tera chehra kehta
Random Song Lyrics :
- siblinghood of unisex - unisex [norway] lyrics
 - luxuria - milemarker lyrics
 - devil - yk glizzy lyrics
 - it ain't me babe - davy jones lyrics
 - vespering - thea gilmore lyrics
 - sadistic euphoria - halvar lyrics
 - oklahoma blues - josh meloy lyrics
 - bir eşq istəyirəm - hatəm nəbioğlu lyrics
 - let it rip - salemkuma lyrics
 - moonlight - jungkey (정키) lyrics