lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

barsoon kay intizar ka - nusrat fateh ali khan lyrics

Loading...

barson ke intizar ka anjam likh diya
kaghaz pe shaam kaat ke, phir shaam likh diya

bikhri padi thi, toot ke, kaliyan zamin par
tarteeb de ke, main ne tera naam likh diya

aasaan nahin thi tark*e*mohabbat ki dastan
do aansuon ne aakhiri paigham likh diya

hum ko kisi ke husn ne shair bana diya
honton ka naam le na sake, jam likh diya

allah, zindagi se kahan tak nibhaun main?
us be*wafa ke saath mera naam likh diya

taqseem ho rahi thi khudai ki ne’matein
ek ‘ishq bach gaya, so mere naam likh diya

‘qaisar’, kisi ki den hai ye sha’iri meri;
us ki ghazal pe kis ne mera naam likh diya?

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...