lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aasman – 100 rbh

Loading...

[verse 1]
likhne ko baitha kam pade meko aasmaan ye
shabdon se sambhog likhne ki meko vasana hain
bataana chahta hip*hop philosophy lekin
aaj kal ke public ko rap pe bhi naach na hain
raja kaisa gar tu praja ka teko saath na hain
dharti akeli na ye mix element panch ka hain
bole ye pagle main rap ka hoon baap
lekin rap khud baccha funk, regge, blues, jazz ka hain
dil mera paaardarshak jaise ke vo kaanch ka hain
tu todega toh woh chube ga usko aankh na hain
ye views ye award ko na meko katna hain
likhna hain shaunk mera yahi meri saadhna hain
likhta na jhoot kabhi baate ye mazaak na hain
neta nahi main bolun baate satya aazmaake
sharir mein hamare halki sab se aatma hain
baaki haddi na chamda bujh chalti laash ka hain

[chorus]
bhare hain dil mein sawaal hi sawal
na milra jawaab kahaan main usse dhundun
sabhi ke zindagi mein chalu bawal
ab tu hi baata de kis se main ye puchhun
bhare hain dil mein sawaal hi sawal
na milra jawaab kahaan main usse dhundun
sabhi ke zindagi mein chalu bawal
ab tu hi baata de kis se main ye puchhun
[verse 2]
dimag mein sawaal ghumte rehte dar*ba*dar
zinda paudha kaat te kisaan kya vo murderer
ye saans zindagi mein chhod degi saath
par kya soch bann sakegi marne ke bhi baad humsafar
na dekhi maine khot buddhi mein naujaat ke
hum khilaye soch sahi galat usse 100 baat ki
na dekhi maine ad koi supercars ki
lene ke liye vahaan baat aati hain aukaat ki
ye bachche padhte school college karne naukri
lakhon karte kharcha par hazaaron mein kyun salary
angutha chhaap bane bhai nahi toh neta
leta karodon toh hum kyun kare mansik slavery
lag*yi aadat dimag ko tum ne dhumrapaan
12 ka sutta milta jab ki 10 ke kele char
phir bhi hum khaate ghaans stamina pe karte vaar
baad mein dekhe ad gupt rogi mile shaniwar
kabaddi kho*kho mallakhamb kushti desh ke
ye khel hain toh kyun na inko izzat apne desh mein
ye angrezon mein ginn ke khel bechte
jo sheher ki team vo sheher ke kyun na khelte
ye log coward hain buddhi se janaawar hain
bante yeda samaaj seva se asal mein khavar ye
kheenchi lakire hum mein jinke haath power ke
kyun ki bhagat singh ji dafan abhi bhi lahore mein

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...