lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu baghdad – 24k (rapper)

Loading...

aan!
24k
4-4-24k
ayy

urdu hai ab zubaan par
aata nahi koi naam par

(intro)

khuda ka main faqeer
lafzo’n ka main wazeer
hai kam bahut azeez
teri zubaan bhi hai koi cheez?

zindagi ek tasveer waqt ki deewar par
hatjaegi tasveer gar waqt ke khilaaf tu
qurbaniya’n khoob hai doobte bacha main
maghroob hua shams kal ki talaash mein
aan! doobte bacha main
maghroob hua shams kal ki..

(verse – 1)

aasaan nahi bas ki baat nahi
hai gandagi bahut teri auqaat nahi
lagadi zindagi daao par is khel ke auzaar mein
aur kam-az-kam bhi tujhme kuch khaas nahi

aadaab nai wo aawaaz nahi
kuch dard nahi tujhme kuch baat nahi
kamzor lagte bahut zyada khwaab tere
ke maqsat mein tadap wo jazbaat nahi

hai gehra yeh daldal bachne ki koi aas nahi
failaade gandam nashe ke ab haalaat nahi
khayalaat nahi, garm khoon wali baat nahi
aqlaaq nahi, guftagu ke hai aadaab nahi

jeene ka maqsad, marne ki ab chaah nahi
mehnat se izzat, bacha koi apna nahi
yeh siyasat hai jhooti riyaasat mein badnaam hai
sar-e-aam main mashoor tu gumnaam hai

(chorus)

hai tujhe kya ilm? hai tamaam mera
intezaam mera, inteqaam mera (skrrrr)
buzdil hai tu pareshaan bhi haan!
ke quddari bani ab ruaab mera

hai tujhe kya ilm? hai tamaam mera
intezaam mera, inteqaam mera (sirf mera)
buzdil hai tu pareshaan bhi haan!
ke quddari bani ab ruaab mera

(verse – 2)

izzat kar ustaad ki
taaseer hai baghdad ki
adab mein alfaaz bhi
nagawaar gustaaq bhi (x2)

waswaso’n mein hu giraft, aabaad har baat meri
aazmaisho ke baad bhi hai yeh raat meri
din mera, bad-qismati saath teri
rashq tujhe ho na kyu? meri zindagi nayi

buland hai aawaaz kisi baat ka ghuroor nahi
qalam hai aazad ahbaab ka qusoor nahi
be-faiz hai bahut teri fikr-o-nazar
is jahan mein mere qilaaf bahut hai kam nahi

taaqat se meri hai tu waaqif nahi (skrrrrrr)
aadat jo teri hai fitrat wahi
siyasat hai jhooti riyasat mein badnaam hai
sareaam main mashoor tu gumnaam hai

(chorus)

hai tujhe kya ilm? hai tamaam mera (krrrr)
intezaam mera, inteqaam mera (ahaan)
buzdil hai tu pareshaan bhi haan!
ke quddari bani ab ruaab mera

hai tujhe kya ilm? hai tamaam mera
intezaam mera, inteqaam mera (here we go)
buzdil hai tu pareshaan bhi haan!
ke quddari bani ab ruaab mera

(outro)

ruaab mera
24k
4-4-24k ayy
come on! aan
24k ayy yay

urdu hai ab zubaan par
aata nahi koi naam par

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...