lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu mai ravanatin – a-shockers

Loading...

vo tha balak bs dashanand
ab baat kru mai ravan ki
ravan ye naam diya shiv ne

shiv ka koi mujhe bhakt nhi
kailash utha in kandho pe
mai chal diya tha lanka ko
hai shiv se itna pyaar
mita du jisko bhi ashanka ho

kiya ram ka bhi uddhar mene
ramsetu me bhi sath diya
hai lakshman ko bhi gyaat
use antim sanso mai gyaan diya

kiya rudra vina ka avishkaar
sur sang bhole ko prassan kiya
shiv tandav bhi likha mene
jise tm sb ne bhi pasand kiya

mai ravan jisne yampuri jakr yamraj ko mat di
mai ravan jisse bda bhakt na hosaka shiv ka aaj bhi
mai ravan jiske khauf se dharti ki har ruh thi kampti
mai ravan jise marne ki koshish krte tm ho aaj bhi

tha bhraman jesa gyaan mujhe
or rakshas jaisi shakti thi
man mai na tha koi kapat mere
bas shiv bhole ki bhkti thi

sachi thi bhkti jaane sb
tbhi bhole ne bhi shakti di
apne sir kaat chadhaye usko
jo tm sbke hai bas ki ni

mai tha gyaani ye jaane sb
svabhimaani ye maane sb
jhukne se pyaari maut mujhe
na khauf kisika jaane sb

mene prithvi ko bhi dekh liya
teeno loko mai ek hi tha
par maut ka meri karan
mai ghar ka bhedi na dekh ska

jbse bhai ka sath na tha
ravaan tha aadha tbse hi
ram ne na mara tha mujhko
tha marne wala apna hi

meri mrityu ke path m
shiksha ye yha koi apna ni
hr saal jlaake bhi mujhko
hai maarna aaj bhi spna hi.

mai ravan

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...