lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu midnight – ​aleemrk & jokhay

Loading...

[chorus]
bechaini sar mera khaati hai roz
sukoon dhoonda nahi mila kho diye hosh
aaj mere naam pe uchaal loge keechar
kal ko uchaalne se daroge dost

kal ko batane se daroge sab ko ke
mere is bande se taluq kharab
kal ko bulandiya choo lunga itni
kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

[verse]

kitna bolu ke mein jee nahi paa raha
tu khayal rakh thora haal pooch liya kar
kitna sochu tere baare ab mein or
meri bas hogai jaan mera toot raha hai sabar

meri zindagi me log to hai kaafi
par wo log nahi hai wo jin pe i would rely
meri zindagi me dost to hai kaafi
par wo dost hee nahi hai jis ko sab kuch batae

kabhi kisi ne bhi nahi poocha mera haal
kara ek hee sawaal ke bas gaana kab aa raha hai
aleem jee raha hai ya mar raha hai kya fark padta hai yaar
koi jaan’na hee nahi chah raha hai
ek arsay se khamosh hu bolne ka mann hai
par sunne waale rehte door mujh se
kal ko koi maar de anjaane me khud ko to
chaukna mat hum hee majboor karte

ajeeb si soch me dooba jaa raha
kya karu samjh nahi aata na

samjh nahi aata koi aa ke samjha de
itne pyaar ke bawajood bhi wo aa ke kyun na de?
ek arsay se mila rahe sab han me han meri
mujhe chahiye koi aa ke meri galtiya gina de

yaar maanta hu tumhari meri suna to karo
itna bura bhi nahi hu itna bura na karo
mere aas paas koi bacha nahi baat karne layak
tum sab aas paas waalo se mil ke sulah to karo

i’m just sad these days
koi milne na ae, mujh se dil na lagae
why you act these days?
mere saamne tum bol sakti ho jo man me ae

i swear me nahi judge karta khud aisa hu
me bhi tanha teri tarah khud me khush betha hu
me tha school ke dino me had se ziada badtameez
phir koi dil na dukha du is liye chup rehta hu
dil hai dukhae bare dil hai dukhae
maafi mili hai ke nahi mujhe pata bhi nahi
apne neeche waalo se mein tabhi jaan kar milta hu
khushiyan baatne kee dhoondta koi waja bhi nahi

jitna behtar kar lu khud ko saale koste rahenge
kuch nahi hoga tujh se rok rok ke tokte rahenge
abe duniya ka sab se acha kaam bhi kar lega
us ke baad bhi ye bura bhala bolte rahenge

jitna behtar kar lu khud ko tab bhi hate to milega hee
na mumkin hai karna yaha sab ko satisfy
insaan dhokhebaaz kabhi idhar kabhi udhar
is se behtar hai ke karu apne rab ko satisfy

gir ke sajde me mein
jaagu apno ke liye un ke sapno ke liye
ziada kehta nahi mein
wo jaanta hai khoob me is duniya se tang

[chorus]

bechaini sar mera khaati hai roz
sukoon dhoonda nahi mila kho diye hosh
aaj mere naam pe uchaal loge keechar
kal ko uchaalne se daroge dost
kal ko batane se daroge sab ko ke
mere is bande se taluq kharab
kal ko bulandiya choo lunga itni
kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...