lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu shukar allah – asif balli

Loading...

[intro]
yeah
asif balli on the mic
real life story
yeah

[chorus]
gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah hume kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah hume kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

[verse 1]
gareeb ghar se par ijat karna jaanta hun
haalat jaise ho shukar allah ka maanta hun
khud ko pehchanta hun, ke meri aukaat kya
tabhi mai rabb ke aage apna sar jhukata hun
padhta mai school tha, saath karta kaam bhi
us waqt bhi kaam kiya jab mai tha jawaan nahi
khelne ki umar me bure waqt sе khela maine
aur bechе nashe na the kabhi unko bhaiya maine
haan bachpan tha khrab par na tha kasoor mera
mai toh sarif tha par duniya ne banaya bura
kyu ke gareeb tha uthaya sabne mujhse fayda
gareeb hona mujhe lagne laga tha ek gunaah
phir mujhe ek din yaad aaya marna bhi hai
kar liya tauba bure kaam ab karna nahi hai
fir usi waqt maine chhod diya bure kaam
kyu ki bure kaam ka hota hai bura anzaam
[chorus]
gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah hume kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah hume kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

[verse 2]
haan dhoyi gaadiyan maine bhi kisi waqt me
haan kiya mehnat na ki paala kisi gass ne
jo bhi kamaya maine khulla na udaya
kaise paiso ko karna hai use sikha apne ghar se
baap kabaadi mera karta tin dabba
maine bhi kara ye kaam bachpan me kaafi dafa
aur meri maa karti thi jhaadu pocha banglo me
baccho ke liye un dono ne khud ko mushkil me rakha
khair, hoti zindagi nahi aasan
karne padte hai aise mushkilo me saare kaam
ghar kiraye ka tha, aaj apna hai makaan
shukar allah tera tune duniya ka dikhaya chehra
aise bhi din the jab sadko pe tha family mera
koi madad karne waala nahi tha, siwa allah tera
haath faillaye ni par karte rahe mehnat hun
kaanto pe chal diya par roka ni apna kadam
[chorus]
gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah hume kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

gareebi kya cheez hai
dekha maine gaur se
hua andaza khud ke ghar ke haalat se
par shukar allah mai kehta ufff jaat pe
wo deta unko taklife jo mushkilo se lad sake

[outro]
yeah, asif baali
real life story
kabhi roka ni apna kadam!

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...