lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kho na jaun – bassick

Loading...

[chorus 1]
kahin kho na jaaun main
sheesha jo toot ke bikhron
(sheesha jo toot ke bikhron)
kahin ro na jaaun main
boondon ko qaid kar rakh loon (boondon ko qaid kar rakh loon)

[verse 1]
khuda sunn mere rooh ki muraad
dil dooba bana kashti akaar
sammay ki lehron ke saath behte hai praan
or dhoonde jab hum kinaare kyun miley 4 mujhe
pehle kinaare pe apne 1000
dikhe na jaane khade kyun haathon mein peechhe talwar leke?
doosre pe khade anjaan gair log phir kyun hai pull ye phoolon se saja rakhe
teesre pe anxiety insecurity depression anger issues or khamoshiyon ke hal miley
chauthe pe khada hai bebas mera pyaar jo ki maange thoda waqt aur chahta hai ki hum jald mile
peechhle se hua move on nahi
kar doon na hurt iss liye hoon maun bhai
bakk dunga sab parda rakhunga nahi puchhega rabb hai itne kyun doubt bhai?
toh phir suno
hai past life ke trauma pe zor nahi tohmatein chhod di
laga ke jo mere thae close bhai
insecurity or trust issues ka cure nahi kyun ki jinhe bharosa kiya kab ke chhod g*ye
4 saal se iss rooh ko saanp se soongh g*ye
naapte khoon se nahi ab rishtedaari hum bhool g*ye siyaahi hai khoon mein khoon saara farishte choos g*ye kareebi loot g*ye
[chorus]
toh bhi karun rabb ka shukraana
rooh thaam ke meri rakh tu
(rooh thaam ke meri rakh tu)
dil pathar ka tukda
kaagaz pe kya main aese likh doon
(kaagaz pe kya main aese likh doon)

[verse 2]
pehne nakaab bhi tamaam dhunde thae jhoot mein jawaab khurche thae wahemon ke patton pe naam tabh toh beta kaise sachchaiyon ke pedhon pe ugenge aam resham ke dhaagon se mere bann khitaab thi odhi jhooti pehchaan jo girebaan leta jhaank toh naram chaadar ki khokli dikh jaati suraakh thi chhalaave ki poshaak hai hum hi toh dhongi bade aur hum hi toh hai samaaj parchhayi pedh ki kitno ko rakhti sheetal or kitne lete panaah
par uss hi pedh ka beej na leta panaah dhoop mein hota dafan na mitti mein phir kya hota?
sacchai yahi ki chhoti shuruwaat lagan aur mehnat insaan ko na dikhe tajurba bonus hai galti aage ko ho na sakey besudh aap do pal ko aankhein sab ki bhigon na sakey phir toh kya bol ab de kalam moti piron na sakey rakhte saaf kyun tann badan mann mein jab hai khot ab aur barkhurdaar badh g*ye hum aage hai ye sab chhod chukein

[chorus 1]
kahin kho na jaaun main
sheesha jo toot ke bikhron
(sheesha jo toot ke bikhron)
kahin ro na jaaun main
boondon ko qaid kar rakh loon (boondon ko qaid kar rakh loon)

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...