lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu khoj par – big scratch

Loading...

verse 1:
lauta ghar pe sar mein dard hai kaafi
dil ki baatein padti sar pe bhaari
kya bimaari hai yeh kaamyabi
jitni door rakhhu utna mujhpe haavi
barahwi se behisaabi, khud ko paaya laapata
kya pata tha maine khoya raasta, main haafta
ungliyon mein ginta din, nikle saal
aakhein nam main rota
raatein gam mein sota
baatein mann mein dhowta
woh jaake rum se dhota tha main
maa ne bola tha ki zindagi ek prakriya hai
thak g*ya main paun soojhein yeh buri bala hai
ab na hora khud se pak g*ya main
10 ke f**kun char, chalti sasti saasein, saari sacchi baatein

hook :
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par (khoj par)
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par
verse 2:
jinko samjha maine dil ke paas
beetein 4 saal, nikle saanp saare
woh ek naqaab tha
ab kya samajh thi, main nasamajh tha
aur tha bewakoof
mudne ki jo deri karte baat peeth peeche
war peeth peeche
kaisi jaati hai yeh khaati apne jaat ko (ayy)
fir dhoondte shaytaan ko?
thehra zakhmi kadmein bhaari sar pe zimmedari
ladkharata baatein bikhri saari
chalta jaata firbhi (kyu? kyu?)
sapno mein hai lambi gaadi
ek hai bangla aur sukoon
rakhta hausla, junoon
choona asmaan hai door manzil
aafatein hai khoob
jabki raastein hai choor
main toh chaukta manhoos bande
khamakha mashoor
talwe chaatte hai inke log
kya hai inme khoobi?
yeh baatein na kabool
apne aap pe vishwaas
par main aadat*e*majboor
leke goliyaan do sone jaata
fir uthke sochun
hook:
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par (khoj par)
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par

verse 3:
har subah main uthke khota ek par tha
jaise pichle din ka saaya mujhko raat mein jakad ke sota
fir main socha
ki khoye par toh kya yeh haar hai?
ek hai mauka toh chalke karna dariya paar hai
kalam uthake f**kun jaan main in shabdon mein
shamshaan yeh sansaar hai toh
tantra mere kadmon mein
usi at**t pe hi shayad mera karz hi
kyuki usne de diye they khud ke kal ko
apne pankh they
aankh mere hai dhundle jaise dilli ka prabhaav hai yeh
man ki khidki kholte sunehre khwaab mere
andhi behri hai yeh duniya laakh baat kaise
maine samjha inko goonga bhi ab laakh kehle
ab na sunra lakhshya mera hai uchaiyon pe
hazaar chehre lete janm par prakaar ek hai
haath payr bandhe inke aur dimaag band hai
bhedchaal hai pratha toh mujhko maaf kar de
bhale hi
hook:
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par (khoj par)
har subah hai nayi
main khou ek par, hu roshni se bekhabar (bekhabar)
raat ko hai dekhe sapnein aakhein kholkar
us roshni ke khoj par

outro:
[guitar solo]

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...