lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu hasrat – bleed ink

Loading...

ab bas haath ki lakeerein hein
aur baap ki nasihatein
kuch doobtay jazeeray aur
har aor hein aziyatein
kuch lamhay haseen say the
jo door the haqeeqat say
kuch doobtay jazeeray aur
har aor hein aziyatein
ab dikhta na sahi galat, hai har qalb mein bas hasad
yeh hein halaq mein baatein, ghut’ta dam jab likhta ek warq
to rakhta sab kuch ek taraf, jab likhnay baithun ek harf
yeh naam, shohrat, zindagi bas mere liyay ek rakm
to kharchun mein isey, mein karta koshish ho yeh sab khatam
mein lafzon ko bikheron haqeeqat ki bunlon ek nazm
shigaaf jab qalam mera chhod de jo saath
to samaj lena ki apni hi qabar mein hoga ek qadam
kaisay hein halaat?
asliyat batadon ye hai hasraton ki raat
hum waisay bhi veeran
tootay khandaron mein baithe, hai banatay saaz
iska na koi ilaaj
hai khud se waqif likhnay se hi milta bas aaraam to
rakhein dooriyan janaab
hum kaafir ghaflaton ko jhelum mein liyay ek naav
jahan na koi musafir, na dikhe kinara kahin
mein sayyara aasmaanon mein dhundon thikana wahi
jahan ek taraf ho roshni, ek taraf gehray sayay
ek taraf say milay zindagi, ek taraf maut bulayay
par
mujhko jaana bas wahin pe
jahan zindagi kay falsafay dikhe mujhay sahi se
jahan khudsay baatein kar sakon mein aainay mein dekh kay
aur keh sakon mein khudko kaisay haar kay hi seekhtay
ki kaisay dhundon raahein? kaisay chunon kya sahi?
hasratein mili na to phir mushkilein hi ab sahi
dastakein jo ab sunayi deti har qadam pay
kya vo maut ki aamad hai yan phir meri hi hai ek kami
tooti jo awaaz, to harkatein bigad g*yin
mujhko na pata ye neend kab mujhsay bichhad g*yi
ab jaagon mein raaton mein, bunon khwaab in gaaon mein
lahoo kaagaz pe aur ab siyaahi khoon se alag nhi
kaisay hein halaat?
asliyat batadon ye hai hasraton ki raat
hum waisay bhi veeran
tootay khandaron mein baithe, hai banatay saaz
iska na koi ilaaj
hai khud se waqif likhnay se hi milta bas aaraam to
rakhein dooriyan janaab
hum kaafir ghaflaton ko jhelum mein liyay ek naav
ya chaè nazm*e*bayaan
ya chaè nazm*e*bayaan
ya chaè koshur nizam haan
ya chaè nazm*e*bayaan

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...