lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kaanch ka ghar (prod. by jacksxn) – daanush

Loading...

akela chal raha is raah par barson se
arson se, khudko khoj raha, tere he nazmon mein
naghmon mein kho g-ye alfaaz mere, saaz mere
ab bas jaagte-jaagte mere hote hain savere

rain-basere main beet ti raatein ye
mulaqaatein ye, ab toh hoti hai bas murdon se
shamshaanon main, makaanon main
dhundhoo main naam tera
ye aatmaayein ab kare kyun bakhaan tera

khud se he puchu main kya ye galti teri thi
ya phir meri, ya uski, jo un sabne deri ki
gehri thi woh khaayi, j-sme gira tha main akele
tere jaane ki khabar milte he, maine jo khudkushi ki

koshish ki, tha nakaam, mujhe na milta mukaam
tera intezaar har shaam, ke sununga tera naam
jaam ki thi na aadatein, na nashein se vaaste
teri gairhaaziri main kitne kash, maine kheench daale

kyun puchun sabse tera pata, jab tu laapata
main bas yun he khaa-ma-kha, tujhe khojta, khudko kosta
baal nonchta, kyunki main maun tha, haath main phone tha
tera call tha par main khaamosh tha, har ik dafa
har ik martaba, sar par mere toh aham ghanghor tha

ab munh modta, khuda se, har pandit guru priest mullah se
lafzon mein mere bas hai gham, jaanein kyu hoti aankhen nam
jab bhi dekhu teri tasveer, jaanun ye sab mere vash mein nahi
tere yahan hone ka, hota mujhko bhram

i am sorry, galti meri thi
us din tere liye na ruka
socha tha puri zindagi hogi humare paas milne ke liye
socha na tha, woh aakhiri mauka hoga

rakhu ab bhi ek blade, mein mere libaaz main
atmaghaat ke khayala, abhi bhi hai dimaag main
dharam nahi main hu naastik, bahar hu samaaj se
phir bhi chaahu swarag narak, taaki mar ke jee saku tere sath main!

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...