lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu not fight – ddream

Loading...

not fight(ddream)*

free me

(verse 1)
wakt ki gawahi maine zindagi bitai bas sochte hue kitni karni padhai
maksat tha kya, zarurat thi kya, fursat thi kya, zurrat thi kya

bolne ke shabd aur karne ke bhav
yaha andhe hai sab fir bhi batti jalao
tairna nahi aata paani mein dubao
udna nahi aata parvat se girao
chalna nahi aata race mein daudao
rui hai sukhi use tel mein bhigao
bhook nahi hai pet bharke khilao
are tum bhi aao, sab milke khao

muu khulega jab ye bakenge tab
tu marega tab yaad karenge sab
khwaab banega jab kaam karega tab
tu darega tab kya karega rab

chunauti paar ki to jeet hamari
aur latak g*ye fir kiski zimmedari
baatein karenge hawaa mein yeh
jaise quatar mein kar rahe sawari
put into words this phase of mine
i am running backward in the race of time
can’t voice my thoughts in this haze of mime
so resorted to these rays of rhyme

kalam ki dhaar se jode vichaar
hoga chamatkaar, sapne faraar
kuthe baghu, kuthe shodhu
majhya darr paasun, kuthe lapoo
fir mili zindagi ki seekh ye
fir samjha kya haar jeet hai
darna nahi mushkil se
yahi zindagi ki reet hai

(chorus)
i don’t wanna fight anymore

(verse 2)
ye album hai meri kahani
ye kalam hai meri zubaani
ab shuru hoga sinsila yeh
sapne khodenge nishani

jab samjha mahatwa padhne ka
tatwa hai aage badne ka
kaagaz ko rangti syaahi hai yeh
charitra banata ladne ka
fir ghis ghis kar grind kara khudko rewind kara
dab g*ya tha andar, purane ko find kara
kyunki purana tha aagyakari, karam pujari, satyavaadi
dhue mein teer chalana tha
andhere mein tasveer banana tha
baadal se khudko giraana tha
ghamand ki chita jalaana tha
logo ne hame sikhaya yahi ki vijeta ke bina spardha nahi
spardha ke bina koi darjaa nahi, aur darjaa nahi to sadja wahi

(chorus)
i don’t wanna fight anymore

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...