lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu raajputi talwar – ditect

Loading...

verse 1:

shuruaat kari 2012 mein, umar thi 14 main chhota sa ladka tha
likhna shuru kiya angrezi mein, ladka ye khudse kyu bhadka tha thoda sa
dost mile 8, bana apna crew, us army ke school mein hustle vo hora tha
kad 4 foot, dheele the nicker, muje ruk mat tu chaar logo ne bola tha

badla hai waqt aaj badla hu main
hindi mein rap, haa karta hu main
khudki likhai pe marta hu main tu
aaja maidan mein darta na main

log mujhe bolte hai itna kyu bolta hai, bolta ye ladka kyu raaz ye kholta hai
chup jo tha bachpan se aag lagi hai
mann ki vo meri dekh aaj jali hai

dilli sheher tootan machi hai
dekh duniya mu band khadi hai
pair tikate hum jaha pe
hota fir bhukamp vahi hai

dheet siyahi aaj bhagi hai
awaaz andar aaj andar jagi hai
dil se main likhta hu kaagaz ke panno pe
kalam meri poori raat bahi hai
likhe mene bar chaar
puche mera haal chaal
bana jaani baad shaah
sapno mein sapno mein

kara mene kaam dhaam
aake mera naam jaan
hoti yaha vaar daat
apno mein apno mein

baat baat pe toh hoti yaha maar dhaad
jaan daar ghume leke poora taam jhaam
baat maan main toh chauthi mein tha gaand faad
ram ram gaali sune poore khandaan

hai sukoon, kabhi khud se pooch
music se mere, muje darr se nikala
hai junoon, mere khoon mein khoob
youtube pe sunte gaana jab bhi nikala

vish pikar vo baith ke andar
neelkanth mahadev parampar
jai shiv shankar, raakh bhasam kar
shabd mere bade kaint bhayankar

bolne se pehle aake dekh kabhi kaam mera
c silent kooper fir gm cody naam mera
beech mein na aane du upar hai mukaam
vikraaj ki rajputi talwar kaamtamaam tera

hook:

sar dhad se alag dushman ka
khoon laga talwar ki nok pe
ranbhoomi mein raja hai aaya
dekho khoon laga talwar ki nok pe

hua shubh aaram is jung ka
khoon laga talwar ki nok pe
ranbhoomi mein raja hai aaya
dekho khoon laga talwar ki nok pe

verse 2:

sangarsh ki baat karu, toh mehnat humne bhot kari hai
badli soorat badla dhang awaaz mein par khauf vahi hai
jeena ka hai maqsad dhundha, sapna jo dekha sahi hai
karya neeti meri shabdo ki mehfil saji hai

naa jaane kitne ashqo ko humne bahaya
naa jaane kitne logo ko beat pe nachaya
naa jaane kitne chehro ko dil se lag*ya
naa jaane kitne gero ko apna banaya
dil cheez kya hai tum meri jaan lo
kagazo pe likhi mu boli zubaan jo
sabse upar apni yaari ki pehchan
vo saali zindagi hi kya jo yaar pe naa kurbaan ho

badshah ko rehti begum ki talaash hai na
taash ka ikka hu lagi rehti pyaas hai na
alag hai mizaaj, hai miraaj jaise raaz
teri yaad bina tera vikraaj zinda laash hai naa

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...