lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu tha kaisa ye rishta tab – divyaansh thakur

Loading...

tha kaisa ye rishta tab
vo sab kyu nahi dikhta ab
vo palko pe likhna pal
vo pal kyu nahi dikhta ab

mai kaafi hu bas itna keh dena
phir kaise na dekhu sang tere kal
vo pal kyu nahi dikhta ab
tha kaisa ye rishta tab

bahane se vo dekhti mujhe to
mai bhi kankiyo se aankh jhank
leta tha pehchan
uski nazro me chupe jo
mere saath ke arman
mere khaabo ke safar me
le chale use vimaan

pehli baar ki ye baat
jab ek khaas mulakat
jo ek baat bhi na bolti thi
saath kaate raat
mere shaam ke riyaz
me bhi shaam uska naam
kisi or ki hatheli ko
na jaanta ye haath
tera seene pe ho sar
to aayе maut bhi agar
vo karle mosique safar
karegi os bhi sabar
milе jo makhmali dagar
mai jeelu muntazir
ye aashique hai
murda dil agar

mai zehnabi magar
mai kashmakash me sochu
kaisa ye asar
badhe jo darbadar
hai badhta dard
dil ye dastakhat
hai kar chuka
un kagazo pe tere
jinpe milti shayari hai khauf ki
hai milti maut ki nazm

tha kaisa ye rishta tab
vo sab kyu nahi dikhta ab
vo palko pe likhna pal
vo pal kyu nahi dikhta ab

mai kaafi hu bas itna keh dena
phir kaise na dekhu sang tere kal
vo pal kyu nahi dikhta ab
tha kaisa ye rishta tab
ek mai tha
jo kisi galti ko dekhta nahi
ho galat jo tu bhi
to manane ko mai haazir
kaisi saazish
jab mai jaanu na
kaisi bhi dagabaazi
or ek tum jo meri khushiyo se
kar baithi bas naarazi

mai namazi
mai sangeet ka
mai shayar hu mai kaafir
mai hu aag
to phir laash meri
mujhpe hi suladi kaise ?

tere khaabo ko mai
aaj bhi duaein du
mai aaj bhi duhahi nahi
du maut ki rubai kaise

mai khauf se aazad tha
phir waqt aaya vo bhi
tujhe khone ka bhi
khauf badha
mai moulvi aawaz tha
na marz tha na ilm
khud hi khone ka ehsaas pada

jazbaat bhi baaki nahi hai man me
dil tak to shayad
tu kabhi pohonch hi nahi paayi
alfaaz mai likh to du or
par shayad unhe samajhne ki tujhe
khoj hi nahi aayi

tha kaisa ye rishta tab
vo sab kyu nahi dikhta ab
vo palko pe likhna pal
vo pal kyu nahi dikhta ab

mai kaafi hu bas itna keh dena
phir kaise na dekhu sang tere kal
vo pal kyu nahi dikhta ab
tha kaisa ye rishta tab

janti hai tu mujhe is kadar
jis kadar koi nahi jaanta
kaash samajhti bhi

mai koshishen puri
teri khamiya nazarandaaz karne ki
tu mujhe hi nazarandaaz kar baithi

is dhun ke saath
ye geet or ye rishta
dono hi khatam
….

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...