lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu waqt ki baatein – dream note (indian band)

Loading...

maana dil dara dara hai
toota ye jara jara hai
dil ke is bawandar ko
thehar jaane do /*
honth ye jara sile hai
khamohi ke silsile hai
raat thodi gehri hai
sehar aane do /*

to kya hua jo toota
aaj sapna ye tera
to kya hua jo
aaj koi apna na mila /*
kabhi toh pura hoga
ye chahaton ka ghar
kabhi toh mil hi jaayega
tujhko humsafar /*
tujhme na kami koi hai
bas tera ye din bura hai
waqt ki ye baatein hai
ise gujar jaane do /*

toh kya hua jo badla wo
jo kehta tha yahi
badal bhi jaaye duniya
main rahunga bas wahi /*
magar jahaan jarurat thi
woh raha nahi
saath ka toh chhodo
khayal tak nahi /*
jaane do jo ja chuka hai
kaun kab kahan ruka hai
baat ye fizool hai
inhe bhool jaane do
andhero mein hi rahne ke faisle kiye
toh raushni mein aake ye man kahan lage?
hai itni baar toota yakeen apno se
toh aitbaar kis par nazar ye phir kare
tu muskurana chahe toh darne lagta hai
kahin nazar teri in khushi ko na lage
kisi pe aana chahein toh kaise aaye dil
ye phir se tootne ke khayal se dare
dareeeeeeeeee….dareee..

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...