lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu awazein – farhan khan

Loading...

[verse 1]
chupchap mai or bolte hain wo
farishte hain 2 bethe kandhe pe jo
na bilkul bhi banti hai dono ki dono hi
hote na chup kehte meri suno bas
ek kehta ye kala hai tohmat
duja hai chahta kamana bas shauhrat
pehla kehta sun imaan ko kho mat
duje ki hasratein zina or daulat
ek kehta tu sarfira shayar hai dhunta firta mohabbat kyu gairo mai
dujha hai kehta ek jesa khuda basta sabme tho farak kyu chehro mai
ek behna sang chahta hai lehro ke
duja band betha hai khudme hi kaid hoke
ek ko hai udna hawao mai
duje ko niche hai rehna dafan hoke
ek chahta bas sochun mai aajki
duje ko parwah hai marne ke baad ki
maut hai lazmi zindgi bewafa mashooka
isse tu karna nhi ashiquie
pehle ko pasand hai sadgi
duja nashe mai talab hai sharab ki
pehlе ko dil halka karne ko baatchit
duja chupata sab rakhta hai raaz hi
[hook]
awazein awazein awazеin awazein awazein awazein
ye khud ki hi khudse hain batein kya khud hi hum khudko bhula dein
ya baton hi baton mai batein dabadein hum batein banake
par dekhunga khudko mai kesr fir ankho se ankhein milake x2

[verse 2]
dooba hun karzo mai pehla hai kehta ki himmat na haar tu manzil ko dekh
duja hai kehta ki tutega khwabon ka mahel na tikti hai paani mai ret
ankhein bhari teri khali hai jeb
kya bhardega ghar ka tu taali se pet
par deta dilasa hai pehla ye kehke na fasna ye bas azmaish ka khel
ek bola ki bhai tu dekh
ye waqt nikalta dikhai na de
or duja hai kehta ye waqt hai tera gulam
ye teri kalai mei hai
kabar andhero mai teri hoga na tera khudai se mel
par pehla hai kehta na utna maza hai mukammal mai jitna judai mei hai
ek chahta jawab sawalo ke
ki kabtak rahega khayalo mai
or duja hai kehta ye duniya hai pinjra khayalo mai rehna azaad hoke
ek kehta ki kabtak hi gaaloge kabtak chupaloge khudko tum gaano mei
duja hai kehta ki zikre khuda hoga jabtak azaano mai tabtak namazo mei

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...