lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu tanha – gravity

Loading...

[verse 1: gravity]
tu rakh teri bheekh jo hai tera pyaar
mai teri yaad samete chala
baahon mein teri chhalave dikhaake
mujhe phasati hai tu bewajah
chhode 20 miss call, you left me on seen
ab na hoti baatein hai zyada
har ghadi din ginta, bas teri chinta
na jaane kyu tujhse juda tha
dil mera toota, behta samandar
saamne hua andhera
mai chaahta aisi duniya
jaha tu ab bhi mera savera
tu na milati hai aankh se aankh
par saamne tera hai chehra
pyaar tu mera tha pehla
ab mere ghaav ko kaatta gehra
kahi door kinare pe waqt bitata
mehsoos karu tujhse zyada
phir bhi hai yaad pukaarti
dil mein tujhe dhundh na paata
tu gumshuda, anamika
gumnaam hi tha woh pal jo
beet g*ya, ab kya bacha?
na pata
[hook]
teri yaadein satati, mai jaagta rahu
kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
yеh chaahat gunaahi, saza mujhko deti
bata mai kya karu?
bata mai kya karu?
teri yaadein satati, mai jaagta rahu
kyu aati khayaalon mеin baar baar tu?
yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti
bata mai kya karu?
bata mai kya karu?

[verse 2: gravity]
aakhein kholta mai
par ab bhi sapno mein
saansein le raha hu
apne inn zakhmo se
kitni raatein kaati thhi humne baaton mein
ab bas ek nagma tu panno pe
teri jagah tune kho di hai
bharte ghaav mere jo bhi hai
ab teri aakhein bhi nahi bolti
jo meri yaadein bol deti hai
beparda, berehem, befikar
mai kab se baitha hu besabar
chaahta teri ek nazar
na roshni yaha
[hook]
teri yaadein satati, mai jaagta rahu
kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti
bata mai kya karu?
bata mai kya karu?
teri yaadein satati, mai jaagta rahu
kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti
bata mai kya karu?
bata mai kya karu?

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...