lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu dil keh raha hai – jj47

Loading...

[verse 1]
paisa husn taqat cheezien na amar hain
tum jan jao baat yeh tumharey pass agar hain
musafir muhallon main bathkay
mehman yaha pe hamarey kaha ghar hain
sir pe kafan hai khuwaishain dafan hain tabhi
barey lambey safar hain
hum main kitney hi dar hain
tum kisi ka hashar aur hum kisi ka fakhar hain
utaron sir sey sadqon k bakrey
aag lagey muu ko hum ulta seedha bak rahe
waqt dhoondtey hain milta nahi hai
plan barhey kiye kyun ab unhi sey bidak rae
unchey falak pe soraj ki tarah
akele hum buht sey nahi hotey
mehnat hi banti hai phal jigar
be waja bhi to koi mojzay nahi hotey
[chorus]
to mera dil keh raha hai
kabhi mil keh raha hai
tere samney hai manzil
tu kisey mushkil keh raha hai
mera dil keh raha hai
kabhi mil keh raha hai
sahab zindagi haseen hai
mera bill keh raha hai

[verse 2]
kisi behosh ki manind
zonеd out betha madhosh ki manind
main bikhra hua meri soch ki manind
ab chupta phirun khargosh ki manind
yeh geet lagе jesey hotey marsiye koi
udas hue dil kisi sog ki manind
khuwab mere sarey mere dar pe kharaey
main ghar sey na niklu darphok ki manind
hum safar tay kiye kyun k buht chaley hain
abhi studio main pari sirf botlien hain
true to myself unchey hoslay hain
dunya ras nahi ati kitney chochaley hain
kuch sath bethey khush kuch ko gilay hain
yeh khali dimagh sarey khoklay hain
hum parindey unchi parwaz k to
na thikaney koi na hi ghoslay hain
to phir mujhsey nahi puch kya sawab kaam hain
such jo zaban pe sharab k kaam hain
jealous aur jalna to agg k kaam hain
tere mu main di roti tere baap k kaam hain
kuch lafz itney qeemti na lagtey daam hain
kuch lafz itney paak jesay yeh kalam hain
to yeh geet sarey maine kiye app k naam hain
acha chalta hun main mujhe do teen kaam hain
[chorus]
mera dil keh raha hai
kabhi mil keh raha hai
tere samney hain manzil
tu kisey mushkil keh raha hai
mera dil keh raha hai
kabhi mil keh raha hai
sahab zindagi haseen hai
mera bill keh raha hai

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...