lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu karachi kasam – jj47

Loading...

hum 5 lakin main baki char sey hat k
hum seedhe na hotey maa ki maar sey hat k
yeh shok nahi junoon, karobar sey hat k
kala kaha jae kalakaar sey hat k

hum ashiq mizaaj lakin payar sey hat k
adhura hua main mere yar sey hat k
hum kuch bhi nahi gunahgaar sey hat k
log uthatey qalam talwar sey hat k

kyun badi baat apney mayar se hat k
yun dealien banae thanedar se hat k
bachey nahi kuch aitbaar sey hat k
hum rehtey akela beshumar sey hat k

meri kala mujhe andar sey kha rahi hai
mera hunr meri naimat mujhpe bhari hai
main phir bhi likhun geet phir bhi kaam krun roz kya bemaari hai ya koi zimedari hai
tum chaney waley ho to na phir zid kro
tom ganey yad kro mera wird kro
tum zikar kro fikr kro love kro hate kro
mu pe kro mere ird gird kro

totay khuwab totay dil tota qalam aur tota hui takhtia jala di kashtian
hum khud hi hain seekhey mujhe daat nahi de bs gina meri galtian

[chorus]
yaha quaid ko bhi dekha
yahha qaiday bhi dekhey
yaha qaid main bhi reh kr
maine faiday bhi dekhey
kabhi krta hai karam

kabhi torta hai bharam
sb ko nahi hai hazam
mai shehar ka hun saga yeh shehar mera saga
nibhaonga main sada mujhe karachi ki kasam

karachi kasam
mujhe karachi kasam
isi matti main paley, is matti main chaley, isi matti main dafan!
karachi kasam
mujhe karachi kasam
is shehar sey hi lo is shehar se lagao isi shehar sey lagan

verse 2
wo dhandey hi nahi
betha itni door mere bandey hi nahi
maut mehman chaar kandhey hi nahi
no new friends mujhse bantey hi nahi

tabhi! ab main k*m dikhta hun
misafir main aik jaga k*m tikta hun
khud sey aman khudhi jung likhta hun
low*key raho tabhi k*m bikta hun

main gir k kabhi nahi chot ginta hun
sath betha gang! to sirf note ginta hun
jani roz ginta hun!
dushman badey tabhi dost ginta hun

tu mehfilon main bethey to thora ehtaram seekh
naam kesay letey mera ja kr pehley naam seekh
kaam ki baat nahi! ja k pehley kaam seekh
peeney k adi hum banana acha jaaam seekh

main to khud khudi main
sochta hun kya rakha khudkushi main
isi khud kushi main khush zindagi main
hum laga bethey dil kesi bandagi main

gandagi main ho ilaaj ki zarurat
samaaj hi ko bhi hoti hai samaaj ki zarurat
bhokey uthey bhooka sona nahi hai
kal pe kya rakhni ajj ki zarurat

[chorus]
yaha quaid ko bhi dekha
yahha qaiday bhi dekhey
yaha qaid main bhi reh kr
maine faiday bhi dekhey

kabhi krta hai karam
kabhi torta hai bharam
sb ko nahi hai hazam
mai shehar ka hun saga yeh shehar mera saga
nibhaonga main sada mujhe karachi ki kasam

karachi kasam
mujhe karachi kasam
isi matti main paley, is matti main chaley, isi matti main dafan!

karachi kasam
mujhe karachi kasam
is shehar sey hi lo is shehar se lagao isi shehar main lagan

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...