lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu nasira – kroozi

Loading...

[verse 1]

2004 ki yeh baat hai
soya tha na raat main
subha utha dekha
hath mein na hath meri maa ke
kahan se shuru karun, baat main
kon janay haal mera?
anjaan main, akhrhi mulaqaat mein
6 saal ka bacha, aik loti olaad main

huh, tensions he bari thi
4 saal bad, maa meri cancer se mar rahi thi
himmat tou karai thi
sansain na kat rahi thin
raatein bht lambi thin
jinse woh lar rahi thi
dard na mehsus ho, bas ajeeb si yeh tangi si
bas teri he qami thi
akhri din, andar se mein murdah
mujay na maloom, par khuda b tha afsurda
chup tha, andhera bht gubht tha, yaad kiya har pal chubta
dard ka nasha, j-smei main dhut tha

[verse 2]

afsos ke sath, mujay baat yeh kehni pari. waqt ke sath sath maat mujay sehni pari
din guzar gy par saloun ki hai fehrist bari
hum putlay, taqdeeroun ki zanjeerein lambi

woh din yaad hai dafnaya tha jb maa ko
duniya walay, kehtay mujay
kese tujay yaad wo?

aj woh, zinda se lagti
tanhayion mein beth ke jb dekhtha mein chaand ko

ankh ko, tasali mein deta
ashqon ke saye mein sota tera beta

yeh tha, mujpe jo beeta
sabak yeh seekha
theek tha
dard bht dheet tha

zinda thi, loat ke tou jana tha
yeh wapsi hai, moat tou bahana tha
afsana tha, rab ne azmana tha
meri dua hai, rab se sada hai
jidr b woh rehti hai, phonchana meri awaaz ko

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...