lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu tumhara ghar – lavanya ayren

Loading...

maine tumhe meri zindagi se jaane diya
par dil se kaise jaane du?
maine tumhe ek dafaa apna maan liya
fir se kaise paraya karu?

agar mere khayal sadkon jaise hain
tum aaj bhi unki galiyon se nikalte ho
agar mere khayal raahon jaise hain
tum aaj bhi mujhe chaurahon par milo

maine maan liya tumhari chuppi
tumhara wo pyaar ka patra hai
jo tum mujhe kabhi nahi likhte
maine jaan liya tumhara jana
kuch un zakhmon mein se hai
jo kabhi bhi nahi bharte

jab main aansuon ke moti bator rahi thi
tumne unhe apni hasi ke dhaagon se piroya tha
un maalaaon se sajaya jo tumne ghar hai
dil mein use main apne kaise tod du

tumhara naam mere dil ki dhadkano sе jo milta hai
har dhadak se wo zakhm taaza hojate hain
tumhara khayal jab bhi merе man se takrata hai
meri tanhayi ki gehraaiyon ko zameen mil jati hai
tumhari kahi baatein jab meri zubaan par ati hain
un baaton ko naya matlab mil jata hai
mere dil mein banaya jo tumhara ghar hai
use todne ka soch kar bhi mera wajood hil jata hai

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...