lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

ram mere sage - narci lyrics

Loading...

chorus
sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
mere ram, mere ram
tera naam ek saancha, dooja na koyi
sukh ke sab saathi…
verse
dukhon mein na koyi, par sukhon mein hai saare
dil ho akela tab chhupe hai saharein
chhupe vo saare jo karte the vaadein
“sath har dukh mein chalenge tumhare”
kahaan hai vo log, bolo, kahaan hain vo baatein?
kahaan pe hai kiye saare khokale se vaadein?
kahaan hai vo daave jo karte the saare?
“sath tere rahenge, tu haath to badha de”
toota tha ye dil, huyi badi mushkil
jod ke ye dil kiya chain haasil
mile kuchh log jo bane the ummeed
par saath mein ummeed ke vo tod gaye dil
dil saare jode ′gar paas mein khazaane
kar ke dikhaava, tere choomte tarane
bure ho haalaat tab vo hi tere khaas
rishton ko todne ke dhoondte bahaane
karte bharose ki baatein badi saamne
tike na bharose pe rishte tamaam ye
karna bharosa na tu meethi si zubaan pe
rakh lo ummeed bas prabhu shree ram se
chorus
hona jazbaati na, zamaana hai kasaayi ka
kaatenge bharosa, na zamaana hai sachchaayi ka
ram tere sage, baaki logon ki ye bheed
rishton mein dhundegi khud ka hi faayeda
sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
sukh ke sab saathi, dukh mein na koyi
mere ram, mere ram
tera naam ek saancha, dooja na koyi
sukh ke sab saathi, dukh mein na ko*
hona jazbaati na, zamaana hai kasaayi ka
kaatenge bharosa, na zamaana hai sachchaayi ka
ram tere sage, baaki logon ki ye bheed
rishton mein dhundegi khud ka hi faayeda
hona jazbaati na, zamaana hai kasaayi ka
kaatenge bharosa, na zamaana hai sachchaayi ka (dooja na koyi)
ram tere sage, baaki logon ki ye bheed
rishton mein dhundegi khud ka hi faayeda

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...