lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aakhri khat – nirav

Loading...

saanwla hai rang kaam bhi safed nahi
dhundhta kyun baahar? mai kamre me qaid bhai
raat jaaga aaj laal kaale hue aankh
karey chand mujhe roshan, andher karey dhoop bhai

zehen pe hain deri aaj yaadein saari dastak
pehli hi class se mai kaise natmastak
saath chootey kaafi iss safar*e*hayat pe
ye zindagi ne dheere dheere kas diye nas sab

yaar cheen liya tune aathvi jamaat mein
seedha saadha baccha tha mai har ek halaat me
khoye saare apne jo karte the fikar
aaj gairon ke saath hun mai ghumta azaad be
kaise the woh din jab fikar ni thi raat ki
duniya ki samajh ni par zindagi abaad thi
ho leta saath thaa mai kisi ke bhi jaan
aaj leta hun mai naap pehle sabke imaan ki

aaj saal bhar bade pe bharosa nahi hota
pehle tha mai mere yaar se bhi das saal chota
pehle shaq ni tha bhaiyon pe har tha anokha
aaj din ke ujaale me bhi kaun de de dhokha

hook :
ye zindagi ne badli jo karwatein
saath raabte bhi kitno se chal katey
yahaan dhard rahey ek bas sarr batey
wafaai ke hi waaste hum marr katey!

amaal shayad aise ki woh saath nahi deta mera
kamaal fir bhi ki hum uske bharose rehte
kitno ki aas rehti mujhse mai jaanta nahi
kandhon pe bojh liye gaano me hi raaz kehte

waise mai jaanta hun khudko kyun jhooth bolun
sochta hun door ki aur aaj ko hi bhool jaata
naa jaane kyun mai ye likhta hun baatein
kyun chahta unka saath jo na kabhi mere haath aata
yahi hai zindagi ab lagti nahi badi baat
mai zaalim shayad jo dilaata tumhe maazi yaad
ek se do behtar chaar dede gham par tu bana de bas qaabil itna failaaun na mai kabhi haath

zawaal*e*zindagi, ye baatein saari dil ki thi
sawaal*e*bandagi, ye maatein mileen mil ke thi
jo aksar dikhta hai woh waisa hota nahi hai
tu bhi seekhega ye baatein puri karni sabne zindagi

hook :
ye zindagi ne badli jo karwatein
saath raabte bhi kitno se chal katey
yahaan dhard rahey ek bas sarr batey
wafaai ke hi waaste hum marr katey!

aakhri khat!

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...