lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu kitaab – nirav

Loading...

aye aye listen up ahn!
kitaab!
flame!
aye!
nirav!
ye gaane ni, kitaab, meri zindagi ke haal
maine zindagi me dekha jo bhi likhe woh khyaal
mere dil ke halaat, mere ghar ke hisaab
mere kaate hue waqt’on ke masle, misaal
maine khauf dekhi, maut dekhi, duniya ki raub dekhi
paise se ni badi koi cheez? maine shauq dekhi
bhaiyon me vair maine gairon me haan mauj dekhi
aankhon me haan nami maine lafzon ki loss dekhi
saath tere jo bhi usеy paas me tu rakh
sab ret ki tarah hai sab jaata hai bikhar
sab mez pе pada hai rehte khojte hum darr
ba*darr, firte rehte jaise registaani narr
hum aas me hain rehte, koi awaaz kabhi dega
isi aas me hain baithe, woh nawaaz kabhi dega
jo jahaaz jaisa jeevan, parwaaz kabhi dega
jo kitaab puri khuli woh bhi raaz kabhi kehga
sab paas me tu kiski talaash me hai?
sab saath me tu kiski firaak me hai?
sab haath me tu kiski muraad me hai?
tu teri aur uski kitaab me hai!

duniya hai gol, koi maat nahi deta
sab rakhte bharosa, koi haath nahi deta
tere baad tere saath tere bol hi rahenge
ye jo kala bemisaal, mujhe haarne nahi deta
meri maut pe ni shok, nikle taraana
bas ek hi toh field, jahaan diya ni bahaana
sab dheere dheere seekha, tabhi gati ko hai jaana
maine mudd ke toh dekha par peeche mai chalaa na
aaj dekh paas sab tujhe yahaan chodd ke
mujhe yaar mera wapas se tu modd de
gham me kam zyada miss karun khushi me
mai badh gya aage par chaap toh woh chodd gye
8 se 4 aaj bhi wahi same hustle hai
bat toh paas hai par alag ab struggle hai
milenge sure jaani ek din uparr
teri sunni hai awaaz, saath solve karne puzzle hain
pehle tha saath, aaj dil me tu saath hai
jaane ke baad tere lambi thodi raat hai
saal’on ke saal yahaan beet g*ye jaani
aaj ek *rs*y baad wapas aayi teri yaad hai
kabhi bhi teri maine baat nahi kari
hope you’re doing good, up there jerry!
i don’t know why the good die young
aur ye baat har baar hoti sach, no fairy!
pehle keh nhi pata tha, ab maadhyam hai paas
pehle tanha thi ye raatein ab kalaa meri khaas
woh hain poochte kaise likhte ye baatein?
bas aadat si hai mujhe, yahi nasha, ye libaas!
mere sunne waale chaar mere saath chalein sadaa
mera safar*e*hayat rehne deta nahi khadaa
yahi karke jo jaani mujhe milta hai sukoon
ussey bhar jaate zakham, ye dawaat jaise dawaa

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...