lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maana ke hum yaar nahin – parineeti chopra

Loading...

maana ke hum yaar nahin
lo tay hai ke pyaar nahin
maana ke hum yaar nahin
lo tay hai ke pyaar nahin
phir bhi nazarein na tum milaana
dil ka aitbaar nahin

maana ke hum yaar nahin

raaste mein jo milo toh
haath milaane ruk jaana

saath mein koi ho tumhare
door se hi tum muskaana
lekin muskaan ho aisi
ki j*sme ikraar nahin
lekin muskan ho aisi
ki j*sme ikraar nahin
nazron se na karna tum bayaan
woh jis se inkaar nahin
maana ke hum yaar nahin

phool jo band hai panno mein tum
usko dhool bana dena

baat chidhe jo meri kahin
tum usko bhool bataa dena
lekin wo bhool ho aisi
jis se bezaar nahin
lekin wo bhool ho aisi
jis se bezaar nahin
tu jo soye toh meri tarah
ik pal ko bhi karaar nahin
maana ki hum yaar nahin

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...