lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu khayal – poet shaf

Loading...

[verse 1]
har shaam
intezaar ke naam
ehtaraam
hai iss sansaar ka kaam
mera kaam
kala ki ibadat samaaj se shikaayat
khilafat siyasat main chalti hawa se bagawat
nafrati rukh bekar ka dhyan
wajood mera woh mukaam
sukoon mera woh makaan
jahaan j*sm kare gunah aur rooh ka na le koi bhi imtehaan
aese khayal mein main pareshaan
aur sochu ki
ek chhote se antare mein
jawaab likhun khayaal likhun samaaj likhun ya khwaab likhun
iss chhoti si zindagi mein rang likhun paap likhun dhundhla likhun ya saaf likhun
chalo khwaab likhun
iss zameen pe har insaan ke reed mein
ho woh taqat ki khada ho sake woh shaheedo ki bheed mein
galtiyo se seekh le
baatne walo ko na woh seekh de
abh khayaal likhun
samaj ki rajnitik soch na aaye bhaiyo ke beech main
tafarko main kaid hum milli azadi nahi bheek mein
nafrati beej na dengi humein jeetne
abh main dhundhla sa paap likhun
jab bharosa uthne lage chauthe neev se
aur patrakaar kahe sab theek hai woh bhi cheekh ke
tab rang likhun
jaha safed kala neela hara narangi laal ko masalta hai
aur iss laal ko dekh badal jaae jo insaan woh iqbaal ban nikalta hai
aur baki bache mudde agli baar likhun insaaf likhun inqalaab likhun azaad likhun
iss kadar iss safar main
badla mizaaj ki ghumu darbadar main
padhu na rahi khabar main
zara sochun kya tum mein
mujh jaisa hi koi shaqs dikhta hai
dekho zara aur dhyaan se kya haara hua waqt dikhta hai
dekho zara aur gaur karo besahara koi shaqs dikhta
agar haan hai to
iss kahani ke tum bhi ek kirdaar ho
[interlude]

[verse 2]
kalakaar kalank karya
kala akaar kalas jaara
sara saar sarak taal
saras saal magaj phaad
malang naach bagal wala
soche main ye kyun hi gaa raha
4 minute ke gaane kyun sajara
bolta bawa
lafz laash nazm naash
shabd itne kyon ghusa ra
ye rap show hai rap toh kar
main kar dikhara
ek ungli meri judgement pe baaki tujh pe
yaha kayden judge nacha raha
100, id samajh ko dikha rahe aaina
gaush chalte gaane ka bpm hila raha
yahaan sabke idol hum
uday tu kar ishara
ye top 14 bole tu top ka chola balak
just shush
ye waqt humara
and we don’t give a flush
khatam

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...