lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu mujhe jaanta nahi – rap id

Loading...

[intro]
haan main
ek din se chup tha
do din se bhookha
teen din se soya nahi par abhi bhi nahi toota
tu mujhe jaanta nahi hai na
tu mujhe jaanta nahi hai
char din ki chandni
sab panchve din bhool g*ya
chhate din chahiye tha
satva din dekhne ka gooda
tu mujhe jaanta nahi hai na
tu mujhe jaanta nahi hai

[verse 1]
mujhe pasand jab sardi mein thanda paani padta seene mein
garm hawa ka jhonka, saanse hi na jeene de
mujhe pasand hai jab sitaare bole tere haq mein nahi hai par dhatt mujhe bhi koi harz nahi khuchh chheen ne mein
ab chahe garje sarr pe aasmaan
ab bhar ke laaya badlon ka kaafila
bata do pyaasa itna hoon khada ki
farak ni padta chahe toh baras bhi ja
ab gunje dhadkano mein jaise gadgadahatein
jaani ye pehchaani lage saansein na
abh fir bhi main aandhi ki aankhon mein jhaank ke dhamakta
[chorus]
tu mujhe jaanta nahi hai na
you don’t know me yeah
tu mujhe jaanta nahi hai (nahi hai)
you don’t know me yeah

[verse 2]
haan meri akal mein kya hai woh shakal mein nahi dikhta
hota na asal toh hustle nahi ye tikta
dekha tune struggle mera rehke bagal mein
par tu mujhe jaanta nahi hai
main jaise parth aur tu
chunauti de main machhli ki aankh phod doon
tu jeet ke bhi kuchh ukhaad nahi paaya
main jahaan gir g*ya wahaan chaap chhod doon
haan main zindagi bhar haara hoon ab sharam chhod di
maut ke saath samjhauta kiya maine kalam tod di
mujhpe marham kya lagaoge tum naram dil log
karam mein kasar ni chhodi khud ki kabar khod di
mera hissa mere paas hoga
tera kissa tera last hoga
agar main 2 kadam peechhe le liya
matlab agle 20 kadam aane wala blast hoga
ab mujhse durr hi rakhna aaina
aag ittni ki ye khud ko jala jaaye na
halke se dhuein se ab mein chhupta nahi
ye law itni tez rakhe dayra bhi fire alarm
ab dehke inn nason mein laptein phadphada ke
doobe raakh lekin doobe tairak na
par phir bhi angaaron ki aanch mein jhaank ke main dhamkata
[chorus]
tu mujhe jaanta nahi hai na
you don’t know me yeah
tu mujhe jaanta nahi hai
na na na

[verse 3]
haan main
ek din se chup tha
do din se bhookha
teen din se soya nahi abhi bhi nahi toota
char din ki chandni
sab panchve din bhool g*ya
chhate din chahiye tha
satva din dekhne ka gooda
chhota nahi kisi se par wajood se main bada nahi
kaanton ko main phool deke jhooth kabhi saha nahi
khoonte se bandha gala khoon tapke zara zara
dhool ude chabuk se dara nahi main
main aansoon ki boondon se munh dhoke aaya
tum kya dhun doge mere jaisa shoor koi bana nahi
hai mazboot woh irada ki jahaan pe tika
jahaan tiki koi qala nahi
toh laga aur zor aur zor aur zor
ye toot hi nahi sakta mera junoon aur laga laga aur zor aur zor
dekh toote main ek
ghadhe ki tarah choor hoke main bana laga
aur tod aur tod aur tod

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...