lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ayurveda – rapper ak47

Loading...

esa wesa gyan nhi swayam bhagwan ke bol hai
brahma ji se hum tak pohcha ved anmol hai
fela charo or corona aya sankat bada
fail ho gyi science, sabko ayurved ka maloom pada
kaam aya desh ke, bimari se bachaya hai
jo log samjhe old fashioned unko ye bataya hai
ayush kwath, giloy, mulethi ne hi to corona se bachaya hai
ghar ghar pohach rha adhunik roop apnaya hai
karle chahe laakh jatan na ab ye rukne wala hai
bharat ke swaasth ko ayurved ne sambhala hai
nirasha or mayoosi bhi bhag jayegi bachi kuchi
ayurved hai basa jaha wahi fele hasi khushi
desh ki pathy ko chune desh bhakti bhi nibhayenge
apni natural tarike se health fit banayenge
badal rhi hai jeevansheli ho rha sab exhaust
hai ye sirf trailer abhi picture baki mеre dost
desh videsh mе fela yog bhaga rha ye sabke rog
sata rha hai tumko rog? to kyu nhi karte tum bhi yog
rakhta sehatmand ko swasth rogi ka ye rog bhagata hai
jeevan jeene ki kala ayurved hi sikhata hai
darr mat pagle tu kis baat ka darr satata hai
jab sath ho ayurved to kahe tu ghabhrata hai
humse ho gyi kesi bhool ho gye ayurved se door
jisko samjha tha gair krte rhe humesha bair
mushkil waqt me thama isi ne hath kabhi na chora humara sath
ho chahe ayurved salo purana par ye anmol ratan hai humara
garv se bolo hai hai ye humara, ise garv se bolo hai hai ye humara
tha san 1193 bakhtiyar khilji bimar pda
hakimo ne diya jawab halat hai bas se bahar janab
rahul sri bhadr ne kiya ayurved se chamatkar
thik ho gya wo, jo kab se tha pda bimar
jalkar ayurved ke pratap se usne dehsat esi felayi
seene me lagi aag se nalanda university jalayi
teen mahine jali nalanda jal kar ho g*yi rakh, hastlipi thi wo puri 90 lakh
soch rha tha mitana ayurved ko wo pagal, wo kya jane ye hai esa esa mahasagar
isme jao jitna gehra milega utna ratan sunahra
jalane wale ho gye khaakh mitane wale ho gye rakh
ise mitana asan nhi, mitaya jaye esa koi bhaar nahi
humko mita sake ye zamane me dum nhi, humse zamana khud hai, zamane se hum nhi
kitna socha kitna vichara pehla ka vyakti esa tha, saara din kaam kre wo fir bhi hasta rehta tha
100 saal tak jeeta tha or bimari ka koi naam nhi
desi khana desi rehna ye batein apnayi thi, tabhi to yaro usne quality of life paayi thi
jisne diya nutrition ka sahi sahi gyan or karwayi healthy khane se pehchan
fir bhi dar dar bhatak rhe hum, supplement hi gatak rhe hum
chalo hataye ye firangi chashma hasta rhe wo jise bhi hasna
jiske paas tha anaaj nhi, khane ko thi daal nhi
dekh hume tha jala wo itna 1 sulagte angaar jitna
kiya desh par tha kabja jisne unko ye batlana hai
tere supplement se nutritious mere desh ka ye khana hai
jis ayurved ko pane ke liye pagal hai desh sabhi, jis desh me paya jata wahi jagrukta ki hai kami
ayurved ke muddo par hi uthte kyu sawaal hai, hoti hai koi research to machte kyu bawal hai
kabhi na uthe desh ki pathy yahi to virodhi ki chal hai
j*sme fas kar reh jate hum ye to gehra jaal hai
janmi ayurved se surgery us par kyu adhikar nahi?
anmol tha nadi vidya ka gyan uplabdh kyu nhi?
aam tha jo gyan wo mantr chikitsa kha g*yi?
kho diya humne bohat, tha shayad bhagwan ko manzoor yahi
ghoom hua 1 heera baki kayi hazar hai
vandan hai un logo ka jo karte din raat tapasya, ayurved ke vikas me tatpar vishwa ayurved parishad or nasya
ayurved ke vidyarthiyo ne uthaya hai ye beeda ayurved ka smaran kar harenge sabki peeda
kahe hume koi kuch bhi pada nhi farak, guru humare acharya sushrut, vagbhatt or charak
ashish hai humare sar pe swayam dhanwantari bhagwan ka, bhagyasheel hai hum jo mila gyan is ved mahaan ka
to aao mil kar fera dein jhanda iske samman ka, gyan ayurved ka fela kar kar dein seena chora mere bharat mahaan ka
mere bharat mahaan ka
mere bharat mahaan ka
gyan ayurved ka fela kar kar dein seena chora mere bharat mahaan ka
mere bharat mahaan ka
gyan ayurved ka fela kar kar dein seena chora mere bharat mahaan ka
mere bharat mahaan ka

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...