lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu qaafir – rj khan

Loading...

[intro]
hmm… hmm…
maula…

b*rs* teri rehmat (b*rs* teri rehmat)
chalta ja kuch keh mat (chalta ja kuch keh mat)
kya mera khuda mere saath? (kya mera khuda mere saath?)
kya meri bhi sunte ahmed? (ya rasool allah)

[chorus]
tere dar pe aaya hai qaafir
jisko na hua kuch bhi haasil
banna chahta vo hai qaabil
karle khud me, mujhko shaamil

[verse]
is bhatke hue ko, maula raah dikha de
saari mushkilo’n se, ladna tu sikha de
aise qaafir ko bhi apne dar pe panah de
jo zindagi ko, sirf soch mein bita de

haaye khuda mujhe, is duniya se bacha le
ho sake to tu mujhe, aaghosh me chupa le
jab lagein hon, uske naseeb pe taale
to azeez vo tera, khud ko kaise sambhaale?
koi hota nahi hai mujhse ru*baru
lagta hai sholo’n ke upar hun
hai tujhse bas ek justaju
de ijazat mai kuch puch sakhun

[chorus]
tere dar pe aaya hai qaafir
jisko na hua kuch bhi haasil
banna chahta vo hai qaabil
karle khud me, mujhko shaamil

tere dar pe aaya hai qaafir
jisko na hua kuch bhi haasil
banna chahta vo hai qaabil
karle khud me, mujhko shaamil

(haan.. parwar digara…)
(aye aye)

[rap]
dekh kaun aaya tere paas, vo banda jo ek teri hi bigdi aulad hai
kar raha jo minnatein hai bojh liye dil pe, sitam kar rahein halaat hain
vo jo dara na kabhi bhi saath chala na kabhi bhi, uske j*sm ka paani to gunahon ka talaab hai
khaab aur rubaab hai sar pe sawaar, kore kaagaz vaali jiski zindagi ki kitaab hai

maula teri hi banaya, dusre ko hai kaat raha
teri qaynaat ka hai, katra*katra baat raha
awwal sabse zyada, jo zamane ki hai chaat raha
sage bhai ke hi paas, bhai ka na saath raha
bhool chuke hain ye, paigham*e*rasool
tabhi zillat vaali zindagi, hai inko qubool
dusron ko girana hi hai sabka usool
maa*baap ko samajhte, ye pairon ki dhool

maula mai bhi na jaane kaise, is bheed mein tha kho g*ya
galat kya kiya ye ehsaas mujhe ho g*ya
kabar vaali neend kyun muqaddar mera so g*ya?
lakeer ka faqeer, mai to dil se bhi ro g*ya

muharram mera ho g*ya, ab eid meri baaki hai
hun der se utha mai, ab na neend meri baaki hai
is qaafir ki sunega, ummeed meri baaki hai
ab haar hai dosti, to jeet meri baaki hai

[chorus]
tere dar pe aaya hai qaafir
jisko na hua kuch bhi haasil
banna chahta vo hai qaabil
karle khud me, mujhko shaamil

(haan… ali…)
(ho oo oo…)

[bridge]
haaziri qubool meri karle apne dar pe
khaamosh karde shor ye, jo mere andar barpe
mujhse pehle jholi, in besaharo’n ki tu bharde
mit jaaye ye gareebi, tu mojza aisa karde (karde… karde)
[verse 2]
tere dar pe jholi ko failane vaale aayein
apni gurbat ka aalam, sunane vaale aayein
aulad ko apni bhukha sulane vaale aayein
dhakke khaa khaa ke din bhar, kamane vaale aayein

zarooratmand mujhse bhi zyada chun lena
uske baad, meri bhi sun lena

[chorus: outro]
tere dar se jaa raha qaafir
ho g*ya usko sab kuch haasil
ban g*ya hai vo sabke qaabil
tu hi tu hai usme shaamil

(ya ali maula) tere dar se jaa raha qaafir (sahare de)
(ya ali maula) ho g*ya usko sab kuch haasil (ya…)
(ya ali maula) ban g*ya hai vo sabke qaabil
(ya ali maula) tu hi tu hai usme shaamil (parwar digaar)

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...