lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu misaal – rudraksh asv

Loading...

kaha nahi kabhi jo ho raha tha sang mere
bhaha chali bhawar, main kho raha tha jashn mein
dua mili mujhe, par tarj mere ashk thhe
mujhe yeh maante na, tulna karte asth se
kaha nahi kabhi ki saath tere ab hoon main
vo jhooth hota bhi toh, leta usko sach hi main
main hi wo badnaseeb, dooba gir ke kasti se
nahi aukaat koyi, kya kahoon kya hasti main
pehle toh mann se ki, ab karoon jabardasti main
main hi wo naamuraad, jisko kosen basti mein
kahen yeh roj mujhko, kaam karta masti mein
rakhun main kaamna, jabtak na banta asthi main
mujhe toh khud se chid hai, thoda sa naraaz hoon
kari kya galti maine, sapne kya yeh faaltu
rakhun ummeed aur sang mein rakhta shaan ko
karam ko apna maanu, jaise yeh imaan ho
lag*ye aankh main, chal raha safar pe ab
toote dil ke tukde, jee raha sabar pe ab
mere yeh bhaav bhi, geet kehte ab alag
dekhun wo aasma, jo deta jeet ki jhalak
kaho na kuch toh tum, kyun huye naraaz ho
mujhe kyun koste, na paana chahte paas kyun
khaai mein latka, par khichte na haath ko
kya main koyi neech hoon, na hoon toh mujhko maan do
karen yeh peeth peeche, mere aise baat sau
kahunga inko kya, hoon main aisa kaamchor
farq bas itna hai, inko samjhun main sahi
asal mein maante thhe, yeh mujhe anjaan log
baha le ashru thoda, par milega mujhko kya
main zinda hoon yaa na, farak padega tujhko kya
jo bhi hai saath mein, main izzat karta unka,haan
safal banun yaa na, banunga khud ka hi misaal
baha le ashru thoda, par milega mujhko kya
main zinda hoon yaa na, farak padega tujhko kya
jo bhi hai saath mein, main izzat karta unka,haan
safal banun yaa na, banunga khud ka hi misaal
haan
haan
banunga khud ka hi misaal

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...