lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu confessions – san cha

Loading...

verse: [san cha]
ghar se jo niklun rishtedaari rakhun jooton pe
jo bhi main hun, main hun viprit inke mansoobon se
chaaha jo maine, wo chota sa sukh mujhe mili hi na
kaise koi bol sakta hai samjha ni matlab zindagi ka
bhai hai khuda ke dar ab dar kar baithun main kyu ghar par
hath mein alfaaz, khaab mere khak, unhe faad du kya pad kar?
main janta hun mere piche kaun khada
kaun bada mujhse hai aage lad kar
main aaya pehle khud, dam ghut ta, chup-ghum, khush hu na mar kar!
aankhon mein khaab bahut, hai neendein kam par raat bahut hain
hathon mein vat liye, teri ek aawaz bahut hai
dekh ke ye mera dard sir pe maa ka hath bahut hai
marham bedam, mere tan par kam, par mann par ghaav bahut hai
jebon mein paise na kyuki jeena ab aam bahut hai..
gar hai usoolo ka tu pakka, seena taan, bahut hai..
badnaami wala naam kamana bhi aasan bahut hai..
shradhha jo mann mein to bin mandir ek aazaan bahut hai..

verse: [shabd]
ab naam mera shabd pehle tha shubham..(ahh)..
sapne bhaut jyada hain par jaan bachi kam ..
maa muje maaf karna ruke na mere ab asuon ka jharna
kyuki kabi nahi ban saka jaisa chaha beta tumne..
bol deta aksar baatein main galat tumhein..
par galat hu main ..
tabhi bhaut bada looser hu main ..
umeed karu mere jaisa beta kisi ko na de…
paise churaye maine baap ki jeb se bhai ki mej se..
dil mein mere bas fareb the ..
par hota mehsus main galat hi tha ..
kaash chali jati jaan jab main paida hua hi tha..(ahh)
jisse tha pyaar uspe haath uthaya maine..
bura mera tha wakt par uska laya maine..
par maafi maangu us se bi aaj main…
kyuki mere jaissa insaan use kab na mile..

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...