lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu reshmi rumaal – san cha

Loading...

[intro: shabd]
shabd up in this b*tch

[hook: shabd]
zindagi mein meri macha pada hai bawaal
raanjhey majjiyan charaiyaan purey 12 saal
dariya*e*aag paar uska makaan
kaise lautey uska reshmi rumaal?

[verse: shabd]
meri zindagi mein ek saanp g*ya das kar
wo deti rahi dhoka maine kaha bas kar
yaad to aati hai mujhe ab wo aksar
par jala dene ka mann karta hai uske khat pad
wo kehti thi ke mujhe bas aap pyar karein
karun main kuch bhi kabhi na inkaar karein
maine samjhaya usey jab koi saleeqa
kehti aap aashiq hain hadon ko na paar karein
meri yaadon mein aap khud ko barbaad karein
dusron ki aankhon mein mujhe talaash karein
ab aap apne wajood pe sawaal karein
aye khuda aap hi is baat ka hisaab karein
ab aake meri madad karey koi to
pyar mujhse tha raqeeb ke sang soyi kyun?
hayе! main aur meri tanhai
aakhir mein reh jaatеy hain hum do hi kyun?
[hook: shabd]
zindagi mein meri macha pada hai bawaal
raanjhey majjiyan charaiyaan purey 12 saal
dariya*e*aag paar uska makaan
kaise lautey uska reshmi rumaal?

[verse: san cha]
kora kagaz tha ye mann mera
chhoda sanam ne is pe daag gehra
rooh nasaaz aur laayi thi tan maila
raqeeb napaak par dang main raha
tab se alag dhang mera
dhruv taara badalon mein kaale chamke na
taramandal palta nakshaktra mera hatke tha
aan! likhey khat tujhe
bekhabar wo kabootar ab kis dar pe bhatkega
tu tulsi kisi aangan ki sehra ki mrigtrishna main
sab ko wahin dikhta par kisi ko nahi milta main
gulab hoon kaaton se mera rishta
hissey padey they kaafi kehti utha jo tere dil ka hai
doobne laga socha wo mera tinka hai
haasil hua usey jo nauka se abhi bichda hai
likh rahe kahani meri krishna hain
sher pura karunga adhoora ye ek misra hai

[hook: shabd]
zindagi mein meri macha pada hai bawaal
raanjhey majjiyan charaiyaan purey 12 saal
dariya*e*aag paar uska makaan
kaise lautey uska reshmi rumaal?
zindagi mein meri macha pada hai bawaal
raanjhey majjiyan charaiyaan purey 12 saal
dariya*e*aag paar uska makaan
kaise lautey uska reshmi rumaal?

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...