lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu koshishein – saransh

Loading...

[verse 1]
saansein ye chal rahi hain ya saansein lad rahi hai?
jeene ko ye zindagi kyun zindagi se lad rahi hai?
kar rahi mashakkaton ke baad bhi kyun sad rahi hai?
dekhne ko roti inki ankhein kyun taras rahu hain?
sukh samriddhi purn, sampoorn roop se dhani
unpar hee kyun uparwale ki kripa aise baras rahi hai?
tan pe kapda pura nahi, khana ghar pe pura nahi
baap kamaane ko paise raat mein so ra nahi
ho ra nahi jo socha samjha gham apni zindagi mein thoda nahi
ghoda sapno ka dauda nahi, vishwaas ka haath chhoda nahi
main khud galat hun to kyun aksar likhra main thoda sahi?
main aansu ni dikhlata to kya dard mere hota nahi?
main zimmedaari le ra hun haan to ab to main chhota nahi
main rota nahi..

[bridge]
haathon ki lakeerein dekhun, kaisi meri zindagi hai
chain-o-sukoon na, har ghadi bas ye tang badi hai
aankhein moond kar tu hai sab dekhta
har pal banda tera rota, kis kaam ki fir bandagi hai?
haathon ki lakeerein dekhun, kaisi meri zindagi hai
chain-o-sukoon na, har ghadi bas ye tang badi hai
aankhein moond kar tu hai sab dekhta
har pal banda tera rota, kis kaam ki fir bandagi hai?

[verse 2]
zindagi na jang se kam hai
unki ginti bahot kam hai, jo mere sang hain
rangeen mizaaj duniya wale, dekh ke main reh g-ya chakit
kitno ke kitne rang hain
band hai, meri bol chaal unse, jinpe kiye maine karam hain
naram hai dil mera dimaag mera garam hai
main hindu tu muslim haan ye to bas bharam hai
baba-maulvi ke haathon bik raha dekh dharam hai
haivaan ki jawaani ka shikaar hui bachchi kisi ko sharam hai?
naa- yahan sabko apne kaam se kaam hai
nakaam hain jo kaam ke, kaam sarkaari to naam ke
khada mareez shaam se, gutlee kaun ginta? sab maze lere aam ke
araam hai, unko jo haraam hai, ye kalyug hai
raavan hai par naa raam hai!

[chorus]
zindagi ki har khushi main dhundta hun har gali
par har gali se laut-ta main khaali
par chand in sapno ke chalte, naino mein jo mere palte
koshishein meri na thamnay waalin
zindagi ki har khushi main dhundta hun har gali
par har gali se laut-ta main khaali
par chand in sapno ke chalte, naino mein jo mere palte
koshishein meri na thamnay waalin

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...