lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu rubina – shen b

Loading...

[verse 1]
bharne laga main yeh kaagaz
aise insaan ke naam
jiska main chhota sa hissa tha
mera woh poora jahaan
himmat thhi ussi se meri
wohi thha mera gumaan
maa toh lafz hai chhota sa
par maa ka bada mukaam
abhi bhi yaad hai mujhe kisse jo teri befikri ke
abhi bhi yaad hai tera zidd pakadna apni marzi pe
abhi bhi yaad hai kaise tu jodh ke rakhti thi ashiyaan mera
abhi bhi hote hain zikr mehfilon mein teri zinda dilli ke
hona toh tere jaisa tha
par shayad main ban nahi paya
jo tune mashaqat uthai
uska karz ada kar nahi paya
ladne laga poori duniya se
par teri yaadon se lad nahi paaya
ab gale lagate aake sab mujhe
par tere jaise koi bann nahi paaya
tune sikhaya na rukna
aur mehnat ka darja zaya nahi hota
kaash jo waqt main tujhse tha door
maine gawaaya nahi hota
chhote chhote gamon pe
maine dekha hai logon ko toot te hue
unse jaake zara puchho sahi
jin sarr pe amma ka saaya nahi hota
[chorus]
reiye heenz chaaleiy aalam pakun pyom
reiye heenz chaaleiy aalam pakun pyom
az meh lekhun pyom afsaan chon
kar kya lekhun pyom afsaan chon

[verse 2]
ho g*ya zaar yeh dil
tere chale jaane ke baad
naa milta tha logon se
cheekhta kono mein
koi na sune awaaz
achanak andhere mein roshni bann ke
dheeme se aaya ek haath
sambhala haalaat ko mere
aur aaj hai wohi shareeq*e*hayaat
sikhaya phir ussi ne jeena ka maqsad
aur maa teri kami nahi hone di
batayi mujhe meri qeemat aur
asal mein kabhi ummeed na khone di
diya fakeeri mein saath toh
aas hai usse main laa doon jahaan saara
shukr oh tera khuda
jo di tune mohlat ab chaen se sone ki

[verse 3]
maa teri duaaon ka kuch toh asar
iss bande ko thaam liya
khuda ne aazmaya khoob
phir aisa inaam diya
ek nanhi si pari inn haathon mein
jiski aankhon mein phir dekha tujhe aur
tabhi toh haq se maine dobara
usse tera hi naam diya
rubina ek ne di zindagi dooji ne sikhaaya jeena
rubina ek ne di zindagi dooji ne phir sikhaaya jeena
woh bhi ab teri si ziddi hai
lagti hai teri si zinda dill
woh bhi ab shaan hai tere shayaan ki
jab bhi sajti koi mehfil
woh bhi ab jodh ke rakhti hai
ghar ko mere aur apno ke dil
toh kaise main maan loon
jaata jo laut ke wapas dobara aata naa phir
kaise main maan loon? jo jaata woh laut ke
wapas dobara aata naa phir
[chorus]
reiye heenz chaaleiy aalam pakun pyom
reiye heenz chaaleiy aalam pakun pyom
az meh lekhun pyom afsaan chon
kar kya lekhun pyom afsaan chon

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...