lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu yaqeen – shen b

Loading...

[verse 1]
2 degreeyaan aur 3 national medal
4 thae award 5 experience ke letters
bola maa ke baad tumko dienge ek naukri
aaya ghar pe order i was bottom on that ladder haah
this is life koi tere gram ki reel nahi
keemat na padhai ki toh deta kabhi fees nahi
ki na hoti mehnat toh phir hota itna feel nahi
devil on my door jaani karni mujhe deal nahi
khayaalon mein khaali hain apne sawaar
sawaalon mein khade hain sapne hazaar
kamaun main 2 bachaun main 4
yaa sabh uda dun pal mein jaake bar se bar
aur faraar meri soch nahi qaid se
mere jaise kaafi khadey mere sheher mein
hum jaahilon ke aage hai gaane phenkte
issi ek umeed mein ki kisi ko toh chaen dien
jeeya zindagi jaise koi tawaif
taaliyon ka shauk bana gaaliyon ke layak
bolo toh gaaun ya gun gunaun
ya nachoon aise chheeloon apne paaun
sunaoon that i have been grinding all my life
ek visionary khada andhon ke beech
karoon saare kaam jo kare teri poori hi team
just to prove to the kids who look up to me
ki tumhe neend ki zaroorat ni in order to dream
[chorus]
lele mera aasmaan
par kabhi bhi nahi
ye zameen
chhoote mera jo jahaan
par kabhi bhi nahi
ye yaqeen

[verse 2]
pata hai chacha ji ne kiske dooji chaachi laayi
pata hai chaar din bhi nahi chali teri sagai
you’re putting it out there
jaise milega fill share
you care about the hearts but
you don’t care about the evil eye
it’s real jaisa real khuda hai
milega khudse kaise sabke beech kho g*ya hai
wohi chaal wohi dhaal wohi rang wohi baal
paanch saal baad bole ye kya ho g*ya hai
hai sabh phir bhi paas kuchh nahi hai
keemati hain cheezien phir bhi khaas kuchh nahi hai
ungrateful generation we are living on medication
aur zindagi se apni koi khaas khush nahi hai
kaise main chalunga jalke
unse jinke paas hai rabb
yaa haathon mein le loon command
aur karoon demand ki peechha toh chhodo sabh
akele mein deta hoon sajde mere na
bass mein mera junoon ye ab
aur kabhi jo zara sa hass dien
phir hain darte kho na jaaye sabh
kho na jaaye sabh ro na paaye ab
itna shor hai seene mein so na paaye abh
jo sikhaaye rabb toh dikhaaye sabh
itna gaur kyun jeene pe jab paraaye sabh
din hain sarr pe mere bhaari phir bhi koshish jaari
ek hi umeed ke sahaare meri himmat saari
kal ko jab amma dekhe upar se mujhe toh bole
akhir bete ne uthaali meri zimmedaari
[chorus]
lele mera aasmaan
par kabhi bhi nahi
ye zameen
toote mera jo jahaan
par kabhi bhi nahi
ye yaqeen
tu lele mera aasmaan
tu lele mera aasmaan

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...