lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu waqt – skyshahil

Loading...

maana dil dara dara hai
toota ye jara jara hai
dil ke is bawandar ko
thehar jaane do

honth ye jara sile hai
khamohi ke silsile hai
raat thodi gehri hai
sehar aane do

to kya hua jo toota
aaj sapna ye tera
to kya hua jo aaj koi apna na mila

kabhi toh pura hoga
ye chahaton ka ghar
kabhi toh mil hi jaayega
tujhko humsafar

tujhme na kami koi hai
bas tera ye din bura hai
waqt ki baatein hai
ise gujar jaane do

toh kya hua jo badla wo
jo kehta tha yahi
badal bhi jaaye duniya
main rahunga bas wahi
magar jahaan jarurat thi woh raha nahi
saath ka toh chhodo khayal tak nahi

jaane do jo ja chuka hai
kaun kab kahan ruka hai
baat ye fizool hai
inhe bhool jaane do

andhero mein hi rahne ke faisle kiye
toh raushni mein aake ye man kahan lage?
hai itni baar toota yakeen apno se
toh aitbaar kispe nazar ye phir kare
tu mushkurana chahe toh darne lagta hai
kahin nazar teri hi khushi ko na lage
kisi pe aana chahein toh kaise aaye dil
ye phir se tootne ke khayal se dare, dare, dare

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...