lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu tum jaano na – spitfire a.k.a nitin mishra

Loading...

(verse)
sabhi ankhein mujhpe na main tupac
pehlu pehla kal tha, kal ke do bhaag
beakal tha hal nakal na ki par
sunke abhi ye tabhi kahe mujhe kya baat!

kaafi niche se dekha hai falak ko
sun samajh tu pankti mein meri lalak ko
koi bhi nahi yaha qaabil*e*tawajjo
shukriya bas nere ashko ke sabab ko

beadab kyun chale meri zubaan ye!
jaaga main kitni raaton ko puch subha se
har gam me sargam hi dawa ye
nain to bachche nazar par jawan ye

karwan ye mera sangeet ka
chalega tabtak jabtak hai jeet na
maa kalam aur mashuq ye teen bas
kisi aur se rakhi hai preet na

(hook)
shayar ke kagaz kalam ka gam se rista hai kya
tum jaano na
ladte sipahi ke man ka maut se rishta kya
tum jaano na
har dhun se in shabdo ka rishta hai kya
tum jaano na
haarkar na baitha main, jeet se rishta kya
tum jaano na
(versе)
sarakti aanhein sila sila ye bana de
sarpat chalе baatein, sharbat sa baha de par
chalke main tez fareb karuga nahi
dhire se hi chalke tarane ye batene

sansein tufaan ye dil tabahi hai
pyaar paani ye man surahi hai
dil hasata ye dil hi rota hai
dil sadak aur dil hi raahi hai

shakl kaali ye sona akkal
rab paraspar ye sach mayassar
dukh ye haskar main peeta sharbat sa
manzilon se hun kaafi kurbat

bas likhna bebas si lat hai
jad shabd, dhun phal, hun russ main
tum kash pe bas khau kashmein
angul si gun humle gaj me

gehra rishta hai nind se mera
sapno me haan ye jeeta man mera
tim timate ho din me tum aur main
sham ko hi kardu savera
(hook)(x2)
shayar ke kagaz kalam ka gam se rista hai kya
tum jaano na
ladte sipahi ke man ka maut se rishta kya
tum jaano na
har dhun se in shabdo ka rishta hai kya
tum jaano na
haarkar na baitha main, jeet se rishta kya
tum jaano na

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...