lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aashiyana – suhel raza

Loading...

(hook)

na chal saka… main waha….
jaha khushiyon ka, aashiyana bana, aashiyana bana

(verse)

inn aankhon ne kai ashk nichode
tab jake maine ye chand lafz jode
hulchul machti rehti dimaag me aksar
toh phir kaise chhod pata main ye safey korey

zimmedariyon ke ye bhari bastey
kuch is tarah inn kandhon pe ladey
ki chah kar bhi mujhe ye seedha na hone de

zindagi ke har ek guzarte pal se
khushi ka ehsaas nikalna chahe bawra mann ye
kaise samjhau main isey ke
namumkin cheezon pe yun zaya na karte waqt ye

har ghadi badalte rahey jazbaat
har ghadi ye dil buney naye alfaaz
har ghadi iss zehen se aaye awaaz
ki khushiyon ka tasavvur karne wala kyu hua ghamon se bezar
jab khushiyan hui zindagi se mustarad
aur zamaney ne kara mujhe bekadar
toh ladkhadaye mere kadam iss kadar ki chaah kr bhi
na chal sakaa main khushiyon ke aashiyano ki taraf
na chal sakaa main khushiyon ke aashiyano ki taraf

(hook)

na chal saka… main waha….
jaha khushiyon ka, aashiyana bana, aashiyana bana

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...