lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aagaaz tha beginning – sunny k

Loading...

[intro]

(deewaar 1975)

tumne ye nahi bataya ki kaun ho
mere ye batane se sone ka bhao nahi gir jayega

laughing

[verse 1: sunny k]

zindagi kinare pe, bina kisi sahare
fisla pair, upar wale ko pyaare
kya hamare, kya tumahare, haq ka saare
saare apna kama rahe. apna chala rahe

4 din ki hai zindagani, theesra hai chaal raha
zindagi maut me har din badal raha
roz hai jung is zindagi se, zimmedari
kandho pe bojh na sambhal raha
haan
apna hi dogle kya rishton ka mol pyaare
girgit ke baap wo badalne mein rang saale
ho jaate tang saare, dekh wahwahi thodi
naam ka rishta, par sabke dil kaale

zindagi ke sabak ki har baat kya
sun, zindagi se seekh. kitabo ki aukaat kya
khoon ka rishta tha, jisne mere wahi khooni
rishta nibhana hai, tabhi toh maut chuni

saare hain paapi yahan, dudh ka dhula na koi
nikla talashne insaan. mila na koi
hai koi hindu koi musalmaan
bas mila na insaan, usse gila na koi

sabpe nazar, wo brabar sabko dekh raha
kisne kiya gunaah, kiska dil nek raha
phir kyun phenk raha, gunahon ke jaal
aur maang ke maafiyan ghootne kyu tek raha

sab hai jayaz na najazayaz kuch
swarg nark, sab yahin hai chuno ab tujhe kya chahye khud
khud ke hi nazaro mein girne se bach
meetha hai jhoot, kadwi sach

sab ban dane layak toh nayalak kaun
saare jab nayak toh khalnayak kaun
meri lambi hai pair, chodi chadder hai
zindagi maut se bhi battar hai
kyunki yahan

maut hai sach, zindagi fareeb
paisa hai bolta par, fati hai jeeb
fate ko silna toh hai zaroori
kyuki, note jo jeb mein. saare karte jihazoori

muh mein ram, aur bagal mein churi
hai zaroori, dusron ke maal pe aaj nazar
lalach poori poori
yaar pyaar wala chal raha khel ganda
main laya bandhook, karo hazir apna kandha

hoga sawara. naya. jab
dekh lenge tab
kiske haq ka sawara kiski haq raat ab
kaun kambakht, deraha zindagi ko dosh
zindagi hai zair, pina hai jina hai roz

aaj har ek baat sare aam hoga
hazir jawab, har labz paigaam hoga
beshak tufaan hoga, khamosi ke baad
kahani toh baaki hai, ye hai aagaaz

[hook: sunny k]

(cut & scratch)
this is the beginning. (x8)

[interlude]

maine insaan ko saitaan bante dekha hai
shant samander ko ufaan bante dekha hai
kaun badalta hai khud ko yun hi, wajah zaroor hogi
tabhi toh, 1 roti ke liye use, haiwaan bante dekha hai

[verse 2: sunny k]

thak thak ho raha knock, darwaje pe
aaj ye
baanki kiraya hai makaan ka wo aa g*ye hai
tankha mili nahi hai. abhi tak, taim pe
chal raha ghar, bas us maalik ke rehm pe

hai baapu driver, beta likhari
likh raha sach, par sabko na bha rahi
karli taiyaari khud se jung karne ki aaj
khaabon ke piche jaan dete jaanbaaz
bas
paise se kharidi j*sm, mila pyaar nai
paal lo kutta, kyunki dost wafadaar nai
saare farebi, yahan duniya sangdil
jise dil mein basao wahi todta hain dil

yahan billiyan badnam, sab use dosh rahe
raasta insaan ka insaan kaat roz rahe
soch rahe apne sa zaada duje baare
thodi tarakki, phir aankhen dikharahe
saale
karne ko aankhen band, hota nahi andhera. jab bhi jaago,hona tabhi sawera
kar rahe tera mera, sab, kar aankhen band
sunta kise hai kab, zamana ye googa behra

kaano se sab kuch dikhayi de raha
mujhe saaf, aankho se sab kuch sunayi de raha. har ek baat
mujhe gawahi de raha, dili tamanna
main khud ko hi maut ki badhai de raha

kyuki yahan
maut hai sach, zindagi fareb
zindagi ke uljhaan se maut hai nek
mujhe na fiqar koi, soch na khof ka
pehle se taarik hai tai, meri maut ka

jitne tyme mere ghar mein chulha jala
usse toh zada padosiyo ke sina jala
kaun soche bhala, aisa koi nai
sach, hota gareeb ka koi dost nai

hai mujhe saaf saaf kehni ki aadat
main dogla nai
dil mein jo muh mein zaada sochta nai
sochte hai dogle, aur ghopte hai chura
pata ye note karo, mera jo laga bura

naam sunny k. govindpur basti se hum
fauladi j*sm, liye dekh firte hai hum
east singhbhum district. na kitpit manzoor
sirf naam nai guroor, jamshedpur

kar dil ka darwaza kabhi band nahi
kyuki yahan, chini bin chai,kisi ko pasand nahi
kar ghamand nahi, honi bas raat nahi
upar wale ke aage, teri koi aukaat nahi

naya sawera, sare aam hoga
hazir jawab, har labz paigaam hoga
beshak tufaan hoga, khamosi ke baad
kahani toh baaki hai, ye hai aagaaz

[hook: sunny k]

(cut & scratch)
this is the beginning (x8)

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...