lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu dhun – sunny khan durrani

Loading...

aapka matlooba number is waqt band hai
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye
dou bhi ek lag*y ek bhi dou sa
aik jama aik baney khizr o moosa
kaan mein seesa kattay rooh sa
aaya inqalab aap azaad ho jayein
aman fasaad phir tazaad ho jayein
qasmay iraad barbaad ho jayen
dou ke beech main hain teen taqseemain
zarbein de dein phir mulk o deen main
dou hain choice phir mar lein jee lain
uthein chalein main ap ki awaaz hu
bethain jhukein main ap se naraz hu
khud se nafrat main he tou cause hun
pesay kamayein
wazzan girayein
main hu mukhbar bechu afwahein
sun le nagri
hath mein angoothi aur paer main sangli
andhay qanoon ki banaa le batti
umrein 80
gunah hain 70
aaino mein bas hain ikkatar battar
the objects in the mirror seem closer than they are
ultay akshar
nou chay unnatar
aaj parhye kalmay wazayif
jhoomein ap phir naachay tawaayif
under the table saray bechain tahayif
bandar ke hath main hain maur ke par
kandhay hain jis ke barood se tar
rok de sab ke he khol de sar
bol de sach jani kuch tou kar
aapka matlooba number is waqt band hai
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye

daam chale kaam chale sab kuch be lagaam chale
kaam wale ikke dukkay baaqi sab ka naam chale
larka aya seedha saada
choro na ye seedhi batain
music schyuzik chalega
chalo ajao saare beerhi maarain
teen taar hai teen taarain teeno larkay khoonkhaar hain
aadhi raat hotelon me chaaye kheenche tikona
apni naiyya doobay puchain bhai tum theek ho na?
bhai kese theek hoga?
mere muhallay me chala hua riwaaj hai
ke aankhon pe patti baandhe goliyan chala dete
tere muhallay me hai tharkion ke maslay hain
mere muhallay me moat ke farishtay
your joke was delivered did some calculations
blended with garnishing and called it inspiration
teen bajjay 70 pe do londay sawaar hain
been bajjay chakkar me moat ko bulaa rahe
police se bhi takkar ko dono hi taiyaar hain
yar track pe personal details nahi batate
mujhe hona hai azaad khud se parde hataa ke
mere qol aur fail me kaafi barha hua tazaad hai
kabhi kabhi lage mujhe ke ye amal makafaat hai
kabhi lage bhai chor na choti si to baat hai
zameer xa*** pop karke chill karke soja
sh** i have to make this rhyme
zoja?
anti prime minister joke paish e khidmat
i put the d*** in dictator eat your land, sleep, repeat
in shaa allah, transaction complete
aapka matlooba number is waqt band hai
baraye meherbaani kuch dair..
chalaade fer

aapka matlooba number is waqt band hai
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye
oye, mera sakoon kahan pe hai?
is waqt band hai
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye
apka matlooba number is waqt band hai
blended with garnishing and called it inspiration
the objects in the mirror seem closer
blended with garnishing and called it inspiration
the objects in the mirror seem closer
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye
we live in a world of short*lived emotions
seems closer than they are
and more instability might follow
joke was delivered did some calculations
baraye meherbaani kuch dair baad koshish kijye
what’s your plan joseph?
joke was delivered did some calculations
chalaade fer..
kuch dair baad koshish kijye

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...