lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu hamraaz – sunny khan durrani

Loading...

riwaajon se ham tang aag*ye
darwaazon ko to zang khaa g*ye
dewaaron ko to rang bhaa g*ye
mere dar pe karne jang aagye

cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?

cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?

doghlon ki toli dun me kis ki zamaanat
ab chote mote jhund yahan bante adaalat
hai ye ghaflat ki baazi
sab takht ki hi chaah me
hasrtat yahan choor
par zameer kese raazi
chalna hai sambhal ke yahan raste hain kharab
jo mera khaas us ke khaas ka bhi koi khaas
ab cheekhun bhi to kon sune yahan meri awaaz
aghaaz e guftgu ke bad raaz sare faash
yahan kon hamraaz?
yahan saaf dikhe aks
jo the chupe hue aks in shaklon k peeche
wese haq hi to neech hai
yahan farz ko ghaseetain
haqdaar ko ye peetain
hamraaz to sabhi hain
guzri khud pe hi kahani
pheli doosron ki zabani
najanu kon wo khaas tha
jo bna hamraaz tha
kyu me khud hi kosti
kyu diya wo raaz tha
jo bhi tha wo maya hi tha
phir mera raaz numaaya hi tha
baat cheet khatam
to sangat meri khabasat me
ab to saya mere hawale hi
or me saaye ki harasat me
peeche mere ghoomain aur me bhaagu shanaakht se
rakhun raaz apni rooh me bethi chup lagaa ke
ke yahan pe nahi apne ye saare hi saanp hain
dassay de ke dilaasay saaray aurhay naqaab hain
riwaajon se ham tang aag*ye
darwaazon ko to zang khaa g*ye
dewaaron ko to rang bhaa g*ye
mere dar pe karne jang aagye

cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?
cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?

raastay bhi dekhe
mene faasle bhi dekhe
mene tori hain qasamain sabse waastay bhi leke
mene apne bhi dekhe yahan hote hue paraaye
sapne bhi saare bina neend ke hi aaye
mene hathon me matti liye heeray dafnaye
mere tootay hue khwaabon ko umeedain kyun sataen
aankhain band pas e parda mujhe maazi kyun saatata
jab me aankhain kholun saamne kuch nazar kyun nahi aata?
sajdon me para hua tum keh rahe mujhe kaafir
bas farq ye ke shetaan ko ham sajday nai lagaatay
is chehray ka noor saara dhul g*ya hai
dekh na maa tera beta rul g*ya hai
dunya ye saari bani dushman meri jaan ki
laalchi ye saaray lage boli insaan ki
qisso me dhundain, mujhe qiston me lootain
mere jumlon ko jorain, mujhe hisso me torain
karte aese daaway meri jaan me be zubaan nai
tum toltay taraazu me jese me insaan nai
mene hathon ko samait ke takleef se bachaya
wo saare karte hamlay, banke phirte mera saaya
yahan ke riwaaj raaz sab ke saamne khol do
hamraaz baante raaz to phir aag me hi jhonk do
cheer do naqaab ke tum sab ko hi dikh g*ye
hisaab baraabar hamraaz tere bik g*ye
riwaajon se ham tang aag*ye
darwaazon ko to zang khaa g*ye
dewaaron ko to rang bhaa g*ye
mere dar pe karne jang aagye

cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?

cheer do naqaab saare pata chale kon mera
hamraaz paas tere paas mere kon mera?
bhooka yahan apne hi haathon se niyaaz dera
kon apni baat pe aur kon phira?

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...