lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu you know me better – vijay mehta

Loading...

[verse 1]

sabse kareeb tha main tere
mere bina kaise reh paayegi tu
subh subh mere call nahi dikhte
meri jagah kise seh payegi tu

mera daantna yaad ni aata
ye sab hai bahane mujhe bhula dene ke
keh de karti ni tu mera wait
ke aaunga fir se bahar teri gully ke

jaana deewana tha ab bhi deewana
par farak main tujhko bataana nahi chahta
main galat hun chal teri marzi hai
kyunki ab main khud ko sahi jataana nahi chahta

main rehta hun gum khud hi me roz
nasho me khud ko badawa diya hai
ye jitne tujhe meri baat batate hai
sabko maine khula mouka diya hai

tu dhokhe me hai baate sunti hai logo ki
auro ki wajah se doori hui hai
ye mujhe bhi pata hai ye tujhe bhi pta hai
kiski wajah se ye doori hui hai

mere iraade toh roke na rukenge
har ek ko zinda hi gaadunga
jitna kiya hai tujhe maine ishq
teri kasam aise na haarunga…

[chorus]

you know me better…

[verse 2]

aajkal meri khamoshi kare byaan teri doori mujhse
kya tu jaanti hai
tujhe mila sukoon bhale mujhe chhod ke
mujhe gum us baat ka bhi nahi hai

tune ek dafa mud ke na suni
maine jo bhi kiya kyun tujhe parwah hi nahi hai
tujhe pyaar tera mila mere baad
tune kiya block mujhe gum toh bhi nahi hai

wo jo waada tha maine nibhaya
tune toda dil maine toh bhi nibhaya

tu har dafa roti bhulaata main sab
par tujhe na yakeen rha mujhpe ab
main sunta hun gaane tere har din
kyunki main call kar skta ni ab

chehra tera nazar aata hai sona main
chahta hun sapno me aata hai
itna staaye kyun pucho hi mat
jo bhi hai jaisa hai sukoon dilaata hai

khair

kabhi na socha tha aisa bhi hona hai
itni muhobbat ke baad bhi khona hai
kaise main rehta hun bina tere
tujhe shuru se pata tha aisa hi hona hai

shuru se sahi nahi tha toh aayi kyun
maine hansaya or jeetna rulayi tu
abhi bhi dil ko samjha nahi main paata
ke bhul jaa usko wo aa nahi paayegi…

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...