lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu new day – vish (ind)

Loading...

[verse 1]
yeh baat kuch aisi hai hustle aur maut ke bich ki ghar pe thi kitni samasya mein kaise batau na lafzo mein zaahir hai dusro ki video hum dekhte kehte thae aisa banayenge ek din paise toh kam thae lekin umeed meri kala ko paalti
8 se 12 hum lage thae raat tak
ghar pe bhi paisa bhi dena tha
kaam ke saath kala ko bhi rakhna tha
maa baap bhi bole humein kab sambhalega haan
umar bhi badhti g*yi ek kamre mein ab kaise hoga guzara isliye main dil ko samjhata hoon jitna bhi diya usmein hi khush rehna
par har kaali raat mein baatein ye khalti thi mujhe baap ko dekhta raat ke 3 baje uthke jaate thae kaam pe kab
soye thea chain ki neend unko bhi yaad nahi aisi haalaton mein sabko sambhal rahe
rahenge kush isliye maa ki bhi mann rahe
mujhe garv apne baap pe haan
maa ka toh khena hi kya chule mein jal ke woh khaana parosti
khud ka toh kehna hi kya bhagwaan se woh mannatein maangti
kisi ko chot na lage iss phikar mein har ghadi kaampti
haath jaala ke bhi sone se pehle
apne bacho ke sarr pe haath pherti haan
meri hai zimmedari iss kalakaari ko main leke aau pharak nahi bhadti dhadhi kitna boj bhari ko main aaj lekein jau
yakeen mujhe apni hai baat pe
aansoo nahi dikhenge aankh mein
main dedunga khushi unke uss haath mein
marne ke baad main dhinkunga chand pe haan

[chorus]
andhere ko maine subha ke naam kiya
udasi ko khushi ka ek paigaam diya
it sounds like a new day
it sounds like a new day hey
it sounds like a new day
it sounds like a new day
it sounds like a new day
it sounds like a new day
[verse 2]
hey udaas kyu baitha hai tu mere dost
kis baat ki fikar hai tujhe
main sun raha ghar wale bhi tujhe dete hai taane
main ye bhi hun jaanta hasne ke liye tu yuhi dhoonde bahane
par asal mein raat ko aansoon bahata hai tu samajhata hoon tujhe
main jaanta hoon teri mehnat mein koi kami nahi thi
tu laga tha raat tak mehnat thi poori
mujhe garv hai ki tu kabhi gira nahi haan
avaam toh aisi hi hai dosti
teri kala inaayat woh logo ko dikhi nahi
par ek din aayega aisa
tere kalam aur kagaz ko ahmiyat milegi
yakeen tu kar meri inn baaton ka
duniya toh zaalim rahegi
par tu jaisa bhi boyega ye karma hai
uska phal bhi milega
paise agar kala ko pichhe dhakel rahi
paise bana aur aage leja
kisi se umeed mat kar ye aayenge
salha deke chale jayenge
akhir mein bachega tu
tujhe hi karna hai sab kuchh
khair mujhe bharosa hai tujhpe
tu aansoo ki boondo ko heere banayega
jitna bhi boj leke tu chalta hai sarr pe
woh dheere dheere tere seene se hi khud halka ho jayega
[chorus]
andhere ko maine subha ke naam kiya
udaasi ko khushi ka ek paigaam diya
it sounds like a new day
it sounds like a new day
yo it’s a new day it’s a new day
it’s a new day yo it’s a new day
it’s sounds like a new day
it’s sounds like a new day

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...