lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu yaqeen – wajiha naqvi

Loading...

tu na mila to kya
buland hai eemaan mera
tujhse naheen judi hoon
khud par yaqeen rakh kar khadi hoon main

main hoon wo inqilaab
likhti khud apna nisaab
bandagi hai nayi meri
khud hi mein khud ko dhoondti hoon main

raaz hoon andaaz hoon
khaak o saba hoon main
zaahir aur numaayan bhi
dhaki chhupi bhi main

ye jahaan hoon main
daasataan hoon main
kahkashaan hoon main

dil ne mujhse kaha
khud se na hona juda
ye to hai ishq ka safar
in lamhon mein ab jhoomti hoon main

raag ki main raagini
chaashni bhi main
ye chaman phool aur kali
chaandni bhi main
ye jahaan hoon main
daasataan hoon main
kahkashaan hoon main

aur hain imtihaan
raahaton ke darmiyaan
kaun hoon
mujh mein hai kya
sadiyon se hain yih sawaal
rahte wuh jo paas mire
phir kaise hui main tanha

tu na mila to kya
buland hai eemaan mera
tujh se naheen judi hoon
khud par yaqeen khadi hoon main

tu na mila to kya
tu na mila to kya
tu na mila to kya
tu na mila to kya

lirik lagu lainnya :

YANG LAGI NGE-TRENDS...

Loading...